Uss lambi se dhaud ka ant hone ko aaya tha
Chaha tha kuch par kismat ne kuch aur hi khel rachaya tha
Thi rahein alag par wo 6 ghante ka imtehaan sabko ek hi mod par le aaya tha
Aur jab muda wo mod aur dekhi ye jannat to laga kuch aisa ki acha sama to bus apna hi aaya tha
Le sapno ki bori sang umeedon ki dori aa pahunchi thi gaadi inn pahado ke beech mein
Kar azaad uss chancal maan ko, samay tha ab uss paudhe ko seech le
Haan kehne ko to saal ye 4 hi the, par naa jaane masti mazaak mein kab ye beet gye
Ek raat ki padhai, kahi mehfil jamaai, wo janamdin ke din doston ki pitaai isi mein kahi hum zung wo jeet gye
Maano jaise is jagah ne hume apni god mein chupay rakha tha
Jis chakra mein fase hue the sab uss chakrayuv se bachaye rakha tha
Kuch yaadein hi hai jo apne sang samat le jaa paayenge
Jo kuch kiya yahan shayad hi kabhi bhula paayenge
Khair ye to safar hai zindagi ko, aisa hi chalta jaayega
Jo kuch seekha yahan wo yar pal hamesha yaad aayega
Kismat ne chaha na chaha par yahan se nikla har bhtka musafir
Yaahan waapis jarur aayega
Aaj ya kal vaapis jarur aayega