Faiz Ahmed Faiz
Dasht-e-Tanhai
Dasht-e-tanhayee Mein
Aye Jaan-e-jahaan Larzaan Hai
Teri Aawaaz Ke Saaye
Tere Honton Ke Seraab
Dasht-e-tanhaayee Mein
Aye Jaan-e-jahaan Larzan Hai
Teri Aawaaz Ke Saaye
Tere Honton Ke Seraab
Dasht-e-tanhayee Mein
Doori Ke Khas-o-khaak Talei
Khil Rahe Hain Tere Pehlu Ke Saman Aur Gulaab
Dasht-e-tanhayee Mein
Aye Jaan-e-jahaan Larzan Hai
Dasht-e-tanhayee Mein
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se
Teri Saans Ki Aanch
Apni Khushboo Mein Sulaghti Huee
Maddham, Maddham...
Door Ufaq Paar Chamakti Hui
Qatra Qatra...
Mil Rahi Hai Teri Dildaar Nazar Ki Shabnam
Dasht-e-tanhayee Mein
Aye Jaan-e-jahan Larzaan Hai
Dasht-e-tanhayee Mein
Is Qadar Pyaar Se
Aye Jaan-e-jahaan Rakkha Hai
Dil Ke Rukhsaar Pe Is Waqt
Teri Yaad Ne Haath
Yunh Ghumaan Hota Hai
Garje Hai Abhi Subh-e-firaaq
Dhal Gaya Hijr Ka Din Aaa Bhi Gayi Wasl-ki-raat
Dasht-e-tanhayee Mein
Aye Jaan-e-jahan Larzaan Hai
Teri Aawaaz Ke Saaye
Tere Honton Ke Seraab
Dasht-e-tanhayee Mein
Aye Jaan-e-jahan Larzaan Hai