Faiz Ahmed Faiz
Mujh Se Pehli Si Mohabbat
Mujh se pahli si muhabbat mire mahboob na maang

Main ne samjha tha kih tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to gham-i dahr ka jhagṛa kya hai
Teri soorat se hai ‘aalam men bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siwa dunya men rakkha kya hai

Tu jo mil jaae to taqdeer nigoon ho jaae
Yoon na tha main ne faqat chaaha tha yoon ho jaae
Mujh se pahli si muhabbat mire mahboob na maang
Mujh se pahli si muhabbat mire mahboob na maang
An-ginat sadiyon ke taareek baheemaana talism

Resham-o atlas-o kam-khaab men bunwaae hooe
Ja-ba-ja bikte hooe koocha-o baazaar men jism
Khaak men lithṛe hooe khoon men nahlaae hooe
Lauṭ jaati hai idhar ko bhi nazar kya keeje
Ab bhi dil-kash hai tira husn magar kya keeje

Aur bhi dukh hain zamaane men muhabbat ke siwa
Raahaten aur bhi hain wasl ki raahat ke siwa