Faiz Ahmed Faiz
Aaj Bazaar Mein
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo
Chashm-nam jān-e-shorīda kaafī nahīñ
Tohmat-e-ishq-e-poshīda kaafī nahīñ
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo
Dast-afshāñ chalo mast o raqsāñ chalo
Khāk-bar-sar chalo ḳhūñ-ba-dāmāñ chalo
Raah taktā hai sab shahr-e-jānāñ chalo
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo
Un kā dam-sāz apne sivā kaun hai
Shahr-e-jānāñ meñ ab bā-safā kaun hai
Dast-e-qātil ke shāyāñ rahā kaun hai
Raḳht-e-dil bāñdh lo dil-figāro chalo
Phir hamīñ qatl ho aa.eñ yaaro chalo
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo
Aaj bāzār mein pa-ba-jauloñ na chalo