Nusrat Fateh Ali Khan
Saadgi To Hamari
Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitbaar Aapke Vaade Per Kar Liya

Masti Mein Ik Haseen Ko Khuda Kah Gaye Hain Hum
Jo Kuch Bhi Keh Gaye Hein Baja Keh Gaye Hain Hum

Wah, Raftgi To Dekho Hamare Khaloos Ki
Kis Saadgi Say Tujhko Khuda Keh Gaye Hain Hum

Kiss Shoq, Kiss Tamanna, Kis Darja Sadgi Se
Hum Aap Ki Shikayat Karte Hain Aap Hi Se

Ik Tere Adaab Ki Rodaad Ho Gaye Hain Hum
Badhe Khuloos Se Barbaad Ho Gaye Hain Hum

Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitbaar Aapke Vaade Per Kar Liya
Baat To Sirf Ik Raat Ki Thi Magar
Intazaar Aap Ka Umar Bhar Kar Lia

Ishq Mein Uljhane Pehle Hi Kam Na Thi
Aur Paida Naya Dard-E-Sir Kar Lia
Log Darte Hain Qaatil Ki Parchaayin Se
Humne Qaatil Ke Dil Mein Bhi Ghar Kar Liya

Zikr Ik Bewafa Aur Sitamgar Ka Tha
Shikwa Kia, Sitam Ka To Namdida Ho Gaye
Tum To Zara Si Baat Par Ranjida Ho Gaye

Tera Zulm Nahi Hai Shamil Gar Meri Barbadi Mein
Phir Yeh Aankhein Bheeg Rahi Hain Kyun Mere Afsaane Se

Meri Halat Daikh Ker Tum Kyun Pareshan Ho Gaye

Zikr Ik Bewafa Aur Sitamgar Ka Tha
Aap Ka Aisi Baaton Se Kiya Wasta
Aap To Bewafa Aur Sitamgar Nahi
Aap Ne Kis Liye Mun Udhar Kar Lia

Jab Tulu Aaftab Hota Hai, Gham Ke Sagar Uchaal Deta Hoon
Tazkara Jab Wafa Ka Hota Hai, Mein Tumhari Misaal Deta Hoo

Nahi Kyun Aankh Milayi Thi, Kyun Aag Lagai Thi
Ub Rukh Kyun Chupa Baithe Kar Ke Mujhe Deewana

Aap To Bewafa Aur Sitamgar Nahi
Aap Ne Kis Liye Mun Udhar Kar Lia

Zindagi Bhar Ke Shikwe-Gile The Bohat
Waqt Itna Kahan Tha Ke Dohratay Hum
Ek Hijki Mein Keh Dali Sub Dastaan
Humne Qisse Ko Yun Mukhtasar Kar Lia
Beqarari Milay Gi Mitega Sukoon
Chain Chin Jayega Neend Urh Jayegi
Apna Anjaam Sub Hum Ko Maloom Tha
Aapse Dil Ka Sauda Magar Kar Lia

Zindagi Ke Safar Mein Bahot Door Tak
Jab Koi Dost Aaya Na Humko Nazar
Humne Ghabra Ke Tanhaaiyon Se Saba
Ek Dushman Ko Khud Humsafar Kar Liya

Saadagi To Hamari Zara Dekhiye
Aitbaar Aapke Vaade Per Kar Liya