Jeet Gannguli
Jhelum Naina
[Intro]
Naina naina Jhelum naina
Duba duba sara chaina
Dubne ke hain ishare naina
Gehre gehre bin kinare naina
Sharbato ka ek bhawar hai naina
Meethi barish ki dagar hai naina

[Verse 1]
Jab dekhi chhab teri
Yeh naina tarr gaye
Tera resham, teri khushbu
Yeh naina bhar gaye

[Hook]
Naina naina Jhelum naina
Duba duba sara chaina

[Verse 2]
Hothon pe hai thehri ek preet gehri
Shabd lekin mil paaye na
Saason mein sarakti
Suron mein behakti
Bandisho mein dhal paaye na
Kachchi kachchi si mahek ho
Dheema dheema sa zeher
Thandi thandi aanch ho tum
Ek naveli si sehar
[Hook]
Naina naina Jhelum naina
Duba duba sara chaina

[Verse 3]
Palko ki chhanv mein ghar liya
Naino mein tere dera kar liya
Raato ko hai savera kar liya
Man mein tere basera kar liya

[Hook]
Naina naina Jhelum naina
Naina naina naina