Talha Anjum
COMPETITION & CURRENCY
[Intro]
(A-A-You I)
This piece of art is brought to you by, (My world, Love)
Your one and only ROCSKTAR, (You’re Everything)
Your unpaid therapist
Or whatever the fuck you wanna call him, (My everything)
But this whole record, (You’re my love)
Is here to stay
[Verse 1]
Let it be known for the record
Abhi kuch baatein baaqi hain jo mein na keh saka tha
I’m back on this mic wo samjhay I’m not coming back
Saaqi pata nhi bhool kabhi meh-kaday ka
Let it be known, Qala ko dil se raah meri
Dil ko khabar hai, Aqal ko kar Itlaah meri
Kaza meri namazein sab kabar azaab hi
Par dil mera saaf, kia uska kio hisaab bhi?
This was never a joke par hasa krte the log
Jab dikhai unko jhalat apnay khuaab ki
Meri sanjeedgi ko samjhein meri saadgi
Nеver did a podcast, I’m still a Top G
Samajh ke tu sataah pe hai
Chotay wе mob deep
Deeper than the mariana, londay mere shooter
Inke tareeke sab jaariyana
Pathar mere tootay gardishon mein hain sitaaray yahan
Album phenki rapper humble kiye mene saaray yahan
[Interlude]
Yeah
Now Cash Rules everything around me
Listen up
[Verse 2]
I spend it like I earn it, Fatafat
You fuckin’ with the gang, man you mad? Hamakat
Came for your watch and took your life, Mazamat
Aur mein MC Stan nhi hun par tu khuja mat, khuja mat
I’m too deep in this mix
Par sabki puhanch may nahi
Kia tum sun saktay ho, kia tum tak awaaz puhanch bhi rahi?
Soch bhi nhi sakta tha, jo hain wo manzar dekhe
Aur kuch manzar, band darwaazon ke andar dekhe
Sehra bhi dekhe, dekhe samandar bhi dekhe
Sikandar mein khud hun
Mene qalandar bhi dekhe
Khuda ki zaat mujhpe ye karam bhi karti rahi
Dil ki haveli jitni bharlo aakhir bharti nahi
Insaan marta hai uski talaash marti nahi
Talaash ki sukoon ki saans tou milti nahi
Cutter Karachi paanch zilay tak ye qala jaati
Mein sher jungle may ye bandar maarein kala baazi
Mera circle tight hai uske bahar hai jealousy
Mera schedule tight hai flow mein rehti currency
No sense of time, mein khud pe waqt laga nahi pata
No sense of love, hota bhi hai dikha nahi pata
[Outro]
Zindagi kahani bangai
Be-nishaan nishaani bangai
Hawaon ki rawani bangai
Kabhi ye behta paani bangai
Zindagi
Tamasha bangai
Rotay ko dilaasa bangai
Jazbaat ka khulasa bangai
Mein tujhme kese reh sakun mein khud may hi nahi
Zindagi kahani bangai
Be-nishaan nishaani bangai
Hawaon ki rawani bangai
Kabhi ye behta paani bangai
Zindagi