Talha Anjum
Fikar-E-Akhirat
Talha Anjum (1st Verse):
Chahay woh tera murshid ya phir ho tera peer
Mere khuda ne likhi hai uski bhi taqdeer
Soch, isse pehley hojaye rooh tujhse juda
Teri hathon ki lakeeron mai bhi hai khuda
Kese tujhey samjhaon jab mai khud gunahgaar hoon
Jitna tera kusoor, utna hi mai kusoorwaar hoon
Akelay jana hai hum sab ne zameen k neeche
Koi bachanay nai ata, maut k baad peeche
Har daur mai khuda ne dikhayi tujhey khudai
Phir bhi gumraah, deen se le betha hai judai
Woh tou deta hai jo maango usko deney mai dikkat nai
Mere pass khud hi usse maangnay ka waqt nai
Paise ka ghuroor kiya martay hain roz ameer
Dua ka sahara lo, jo kartay hain faqeer
Dua ki taaqat dekho jo badlay taqdeer
Mai hoon gunahgaar, mere jese beshumaar
Mere aglay pichlay, sabka hi tha nasha pehla pyaar
Ab na jeet hai na haar, na aar hai na paar
Janay sе pehley tu parhley dunya sе astaghfaar
Mai phir maangoon rab se dua, mai na phir kheloon juwa
Mai na phir haaroon aur poochoon rab se mere ye kiya hua
Sun sako tou suno aur lekar dekho misaal meri
Meri haar tou haar, par jeet mai bhi haar meri
Navin Chohan (Chorus):
Itnaa door kyun eeman ki roshni se
Mai jee raha hoon, haar k zindagi se
Kyun bhool gaya tu fikar e akhirat zindagi se
Kyun bhool gaya tu fikar e akhirat zindagi se
Talhah Yunus (2nd Verse):
Born sinner, Doing a life in hell
What happened to the Ummah, once known so well
Bout to witness God's wrath, path of Satan
Even im not perfect, my path aint straighten
Mosque's are empty, and people tempt me to do wrong
World is evil, And people might accuse this song
All I see is blood on the streets, Small Kids blazing weed and Hennessy
Everyone with evil deeds
They got time for Cafe's, but don't have time to pray
Got time to kill, Bomb Blasts every day
Naam k musalmaan, apnay kaam tou dekho
Har cheez ka hoga hisaab, anjaam tum dekho
Buray kamon mai ghum, Akhirat ka na khayaal
Tere har ghalat kaam ka rab poochay ga sawaal
Jahannum mera thikana, socha karloon acha kaam
Jaag jao musalmanon, choro ye sab hai haraam
Daishatgardi, Maara maari, isko kehtay ye jihad
Na koi parhta hai namaz, Na koi deta hai zakaat
Love is lost, but sex is really common
Who's on the right path, the answer is no one
Be good, follow deen, Trust me you'll have no worries
Money can't buy everything, just a bunch of flurries
Navin Chohan (Chorus):
Itnaa door kyun eeman ki roshni se
Mai jee raha hoon, haar k zindagi se
Kyun bhool gaya tu fikar e akhirat zindagi se
Kyun bhool gaya tu fikar e akhirat zindagi se