[Verse 1: Talha Anjum]
Jana tere jaisa yaar hi nahi milta
Saaron se me bezaari se milta
Ghar me toh roshni hi nahi mile tujhe
Khabar hai na khali koi chiraag hi nahi jhalta
Still i try to hold it down for you
Tu raazi ho mein aisa kya kahoon
Tu aaj hi aaya mere khuaab mein
Lekin khuli jo aankh to laga mein abhi khuaab mein hu
Tu bada beparwa sa
Khol dill ka yeh darwaza
Ghuneghar ko tu de saza
Akhyein laal cuz we smoke zaza
Yaad nahi kab kam pi thi
Lekin ajj sab kahein pili maine bohot zaada
Puri duniya mere haath mein hai
Lekin tera hath na ho haath mein toh sab aadha
Dill ko dill se raah nahi rahi
Meri jaan mujhe bhi ab teri chaah nahi rahi
Matlab ke maut se milun toh kuch sukun ho
Jeene mein toh ab ho baat hi nahi rahi
Peene ke liyе zeher hai dasteyaab par
Mеri maut ki wajah toh sharab hi rahi
Ji aap wo leti mera naam nahi
Ghuftgoo bas aap janab thak hi rahi
Ghum-eh-shaam izaafa ho raha hai
Kahin ka waada kahin wafaa ho raha hai
Ye sauda dill ka hai jo ghaata ho raha hai
Wo mudh kar na aaye wo jata jo raha hai
Dill ke makaan se nikal ke dekho janeman
Dill ke bazar mein tamasha ho raha hai
Zehen ko zindaghi ki fikar khaa gayi
Ye mera dill kam se kam gaata to raha hai
[Chorus: Talha Anjum]
Kyu rehti ho dur
Tootey taaron ki maanind hi tuta hai mera guroor
Yeh tera sulook
Na tera weham ab raha na hi mera wajuud
Hui kiya subaah
Uske jaane se pehle hua tha jo suraj guroob
Hua phir tulooh
Toh kyu itne dur
Dhalte suraj ki maanind ab dhal hi gaya mujhme tu
Tujhme mein me
Me and you
[Verse 2: Talhah Yunus]
Kya tere aasuon se likh raha hu
Kya ab dhuaon mein bhi dikh raha hu
Andhero mein me bhikhra rahu
Tu agar meri nahi tou phir mein tujhko kiska kahu
Bheed hi bheed hai mein ghut raha hu
Apne chane waalo se hi ab mein chup raha hu
Ye lafz bikte nahi bazaaron mein
Sirf tere muh pe chup raha hu
Dil udaas tere dil mein nahi dimaag mein the
Har sawal toh sune magar jawaab nahi dein
Kehti aayi jab bhi yaad tum toh saath nahi the
Mera shonk mera kaam mere khuaab toh de
Kaise rokoghe mujhe ye saje baagh toh dekh
Always real with my homies i don't like to fake
I don't like to wait either
Ye adaab to dekh
Khuda hero meri story ka yeh life at stake
I'm a killer with a motive you just quote
Man we wrote it I'm the hope
I'm a poet battees bore padi loaded
Teri soch choti chote tere dard karein ghodde
Mere bol mera food hein alag zor uddein totey
Apni maut se hi haath yu milaa aaye
Kitne pehle mujhse kitne mere baad aaye
Kitne geet likhe tujhpe jo jala aaye
Teri yaad aaye jese ghar se bhag aaye
Ye lafz teer tou kaman tum ho
Meri awaz ye zaban tum ho
Abhi bhi zinda par mehmaan tum ho
Mein pareshaan par hairaan tum ho
Na hi ped na koi saya hum ne khud ko bhi hasaya
Tune ajnabi banaya par koi baat nahi
Sara bhojh bhi uthaya mene raasta dikhaya
Mene jitna bhi kamaya mujhe yaad nahi
[Chorus Talha Anjum]
Kyu rehti ho dur
Tootey taaron ki maanind hi tuta hai mera guroor
Yeh tera sulook
Na tera weham ab raha na hi mera wajuud
Hui kiya subaah
Uske jaane se pehle hua tha jo suraj guroob
Hua phir tulooh
Toh kyu itne dur
Dhalte suraj ki maanind ab dhal hi gaya mujhme tu
Tujhme mein me
Me and you