Krishnakumar Kunnath
India Waale
Ho maane ya koi maane na
Yahaan apni bhi thodi adaa thoda andaaz hai
Aise hain chaahe waise hain
Arey jo bhi hain jaise hain
Khud pe humein naaz hai

Jaane na humko ye zamaana
Chaaho to humko aazmaana
Hum yaar-baaz hum jaal-saaz
Hum ishq-baaz dilwaale
Kehte hain humko pyar se India waale
Chhu lete dil ke taar se India waale
Har jeet cheen le haar se Indiawaale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale

Yun toh seedhe bade..
Kabhi chahein to hathon se lete laqeerein chura
O.. humko parwaah nahi
Jo bhi kehta hai, kehne de jag ye bhala ya bura
Jaisi bhi marzi ho humaari
Karte hain aisi hoshiyaari
Par dil se yaar jo le pukaar
To jaan nisaar kar daale
Kehte hain humko pyar se India wale
Chhu lete dil ke taar se India wale
Har jeet cheen le haar se Indiawaale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiaawale
Ungli pe sabko nachaa dein hum Indiawaale
Aankhon ki aankhon ki chaabi se
Thoda betaabi se chupke se khole dilon ke taale
Jaan dete, usko jahaan dete
Apna imaan dete jiski bhi baahe gale me daale

Duniya se humko kya le jaana
Yaaron ke dil mein ho thikana
Humein ek baar hota hai pyaar
Ye laakh baar kehla le
Kehte hain humko pyar se India wale
Chhu lete dil ke taar se India wale
Har jeet cheen le haar se Indiawaale
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale..
Dushman ke chakke chhuda de, chhuda de…
Ungli pe sabko nachaa dein…
Dushman ke chakke chhuda de hum Indiawale..