Ahmer
Uncle
Intro
Shaheed Aijaz

Yi chusai bha chaani khatra karaan

Ahmer
Boziv

Verse:

Mere shaheed uncle meine nikaala apna dil cheerke
Khuda se maanghu joh na taqdeer mein
Haal hi mein duniya daari kaafi mushkil
Sach ki baate thukraye sab
Nange ghume mere qaatil, dafnade tu insaaf ab?
Ye dekhna chahte meri raakh iss aag mein
Zindagi jaise haraam hai
Har barkat azaab hai
Hai kaisi ye paheli? rakhash mere samne
Ek haath mein bandook meri jaan ek haath mein
Tume? Kya pata tume curfews kya hote, kaise sab dar se na sote
Muh pe duck tape ye thope
Balatkaar khule aam, tu chilaaye? Toh qatle aam
Kaise sunne woh rab jab vaishi nikla har insaan
Apne hi mukhbir, apne hi beimaan
Berozghaari pasand, khush haali na ho bardaash
Khoon ki hai talab, jispe palti hai sarkaar
Kissi maanghu mein madad, kyu ye kare mujh pe eshaan?
Main aata ache se paish ye samjhe meri kamzori
Meri hi thaali se cheene meri roti phir seena zori
Haalat badleghi kitne vaade mit gaye
Taakat aisi ye jhoot ki hum saare bikgaye


Gulam Rasool Bhat: Macbeth dialogue: English translation:

“Tomorrow, and tomorrow, and tomorrow
Creeps in this petty pace from day to day
To the last syllable of recorded time;
And all our yesterdays have lighted fools
The way to dusty death. Out, out, brief candle!
Life's but a walking shadow, a poor player
That struts and frets his hour upon the stage
And then is heard no more. It is a tale
Told by an idiot, full of sound and fury
Signifying nothing”

Outro:

Tell that Uncle I put my heart out for this
I’m praying to God, all for this
It’s been too hard, they contradict
Tell that Uncle I put my heart out for this
I’m praying to God, all for this
It’s been too hard, they contradict