Ahmer
Aman
Verse 1:

Chal kadam naap, zameen paakh hai ye
Mukadas toh hum ikhlaaq se hai
Sach na bolu toh kya jawab dun mein? kal ko
Hai tume galat malumaat, badlo, khud ko
Zameer karta nahi maaf, hai toh sudhro
Dabhti na inse ye awaaz, ab bhi sunlo
Zulum bhi toh kitna janaab, nafrat ke putlo
Kaise tum sote saari raat? dawlat mein ghum ho?
Aisi na karte dekho baat, ijazat na de ye buzdil samajh
Sab shaant, abhi bhi khada nafrat ke khilaaf
Rooh-e-aag, qalam se hoga sab ka parda faash
Jazbaat, mere log, Haq pe ladte, khattarnaak!
Baat baat kare sab!
Asliyat mere saare thap
Paisa dikha toh malang
Apne hi dekho gazab
Bejte imaan khule-aam
Kyun hai pareshaan meri awaam?
Kyun?

Hook:

Dikhe na aman kahi
Kyun na mile hume shaanti?
Kyun jalrahi hai meri vaadi?
Tumare liye ye toh aam hi

Dikhe na aman kahi
Kyun na mile hume shaanti?
Kyun jalrahi hai meri vaadi?
Tumare liye ye toh aam hi

Verse 2:

Hassi aati inke news channel dekh ke
Inn besharmo ki tehkikaat kitni fake hai
Koi chilaaye jung koi atoot aang
Lete rishwat sarkar se phir bhakte joh pasand
Kashmir aane se phat ti hai inki
Bas news rooms mein baithke denge tipani
Inke behkaawe mein aake sochte galat sabhi
Farzi desh premi, jadh hai ye nafrat ki
Pakad meri inpe, fanaa karu in sab ko
Jakadlu jaise zal zala, dafan karu joh ab toh
Apne dard se, thuku tumara zeher tum pe
Joh bardiya hai tumne logo mein, ye mera farz hai!
Kitne arse hue hume bhi, har jagah hai musibat
Isme kayi logo ka faida, laasho ki bhaari keemat
Hun khush kismat...
Maine paya sach!
Humse nafrat karne se pehle tu jaake padh
Aake ladh, ilm hai toh aake ladh
Koi na darr, qalima bandha hai maathe par
Jukta na usske siva kissi ke samne sar
Sunta hai mera khuda, chalti rahe ghi ye jung!
HOOK:

Dikhe na aman kahi
Kyun na mile hume shaanti?
Kyun jalrahi hai meri vaadi?
Tumare liye ye toh aam hi

Dikhe na aman kahi
Kyun na mile hume shaanti?
Kyun jalrahi hai meri vaadi?
Tumare liye ye toh aam hi