Ahmer
Janaza (Interlude)
[Verse 1]
Phasa halaq mein hun
Main jaise rooh, ye kare mera photoshoot
Mere muh pe moot ke meri laash se ho rahi guftagoo
Thaila kitaabo ka uss pe khoon mera school aaj kafi door
Dekhu zindagi ko hote choor
Dekhu sapno ko bante dhul
Rakhi bagal mein ek bandook
Ab tum shak karna nahi, inke jhoot bante sach hai ye gehra nadi
Meri maa baithi hogi iss umeed mein, main ghar laut aau gha abhi
Ye usko hi pata dala kafan jisne hota kya
Ye usko hi pata khoya badan jisne apno ka

[Chorus]
Aaj phir ek janaza par laash abhi mili nahi (Mili nahi)
Phir goliyo ka shor, sunna main, chali nahi (Chup reh)
Main charas ki lalach mein apno ko maara hai (Apno ko maara hai, bo-bo-boom)
Maine logo ke waado ko khoon se nikhara hai (Nikhara hai)

[Verse 2]
Ab jo falak pe hun main, mere abbu ke hathon pe mera lahoo
Unki nazron se mit ta nahi jinmе ab bhi zinda main hun
Tab se chali nahi unki ki zubaan, jab se mera jism aaya ghar wapas
Insaaf ki talash mеin bhikhari bane hue hum jale hue kaghaz
Qanoon hi munafiq, azaad mere qatil
Jahan koi nahi khaalis
Wahan kuch bhi hai wajib
Yahan kitno ko yaad mere jaise masoom, kya hamara anjaam
Hai ye inka guman, ye jannat ka bagh nahi ye registan

[Chorus]
Aaj phir ek janaza par laash abhi mili nahi (Mili nahi)
Phir goliyo ka shor, sunna main, chali nahi (Chup reh)
Maine charas ki lalach mein apno ko maara hai (Apno ko maara hai, bo-bo-boom)
Maine logo ke waado ko khoon se nikhara hai (Khoon se nikhara hai)

Kya tune charas ke lalach me apno ko maara hai? (Apno ko maara hai)
Kya tune logo ke waado ko khoon se nikhara hai?
Kya tune charas ke lalach me apno ko maara hai?
Kya tune logo ke waado ko-
[Outro]
Be akh ha nuvukh
Be akh ha morukh
Govha shaheed
Be akh ha povukh
Ghar ha zolukh
Phaansi ha kholukh
Kus pari janaaz?
Kus chu masoom?
Kus chu shareef?
Kus chu mareez?
Kus chu kameen?
Sard zan sheen?
Phatnas chus aamut gov kalkharab