Ahmer
Azli (Prelude)
[Verse]
Ye na koi afsana, ye zindagi hai meri
Inke news article se badi
Kabhi bhi TV pe dikhegi na ye
Kitni bhi keemat ho, bhikeghi na ye
Kaise ek Kashmiri Musalman bolegha sach?
Ye saale sab aatankwadi, dikhe toh karna shak
Dikhe toh inse bach, shamil hai har ek shakhs
Inka naam, aqs
Inka kaam, haq!
Main aaj bolu jab
Likhu main jo bhi lafz
Hoti inne takleef, jaise main inka dard
Bana main kitna sard
Afra tafri mein kaid
Dikhti har tarfa wardi, bara kyu inn mein hai zeher?
Ye kare koshish par ruke na pair ye mere
Main nange paon hun tab bhi aage jaise main Pele
Ye Srinagar hai, har din yahan hangami, mayday
Bache dekhe bas bandook phir bana kе khele
Ye kеher lazmi hai, sitam farsi hai, samjhe na
Bahane baazi hai, rehna raaz hi hai, begunaah
Ab saare aalsi hai, phase maazi mein, pale pade faasi toh main na dekha koi mojza
Mera dukh, dard, sitam hai banawati aur marne pe mere khuli bottlein sharab ki
Maslo pe mere bane qile yahan
Sunne na koi toh phir nasho mein bache mile yahan
Hue GUMRAH, mit gaye NISHAAN
ROVum sori, kya wanai bha masravikh zabaan
Aaz be JANAAZ, yus woth saasi lati
KAL gov KHARAB yi azaab kati mashi
TAKABUR yeti na boyi kah, thaden ghuren khacxaan khar
KUNi bha, paknovum soori scene dicxum yiman zang
Wich mei saeri rang, cxet’a gasi na SHUHUL NAAR
Murde utha ke zinda hone ki talash hai ye!
Aaj bezuban bolegha kahaniya jo ankahein
Yaad hi rakhna inne, ye sach na cheere zameen
Ye likha jayega har ek deewar pe
Ye nikal aayegha har ek dharaar se
Hai Azli, Abdi, Azli Abdi ye
Hai Azli, Abdi, Azli, Abdi ye