Gajendra Verma
Anjaam
Aankhon mein ashq hi sahi
Dil mein mohabbat hi sahi
Jaisi apni, uski haalat hi sahi
Par yeh tay hai ki wo qayamat mujhpe dhayegi
Haan wo jayegi wo jaayegi, haan woh jaayegi
Haan woh jaayegi. woh

Baaton baaton mein yeh baat ki kya hona hai
Phir wo samjhana jo manzoor-e-khuda hona hai
Oh badi berukhi se kehna ki juda hona hai
Aur toh ho chuke bas ek sitam baaqi hai
Woh juda hi hai bas jaane ki rasam baaki hai
Rasam baaki hai. rasam baaki hai
Rasam baaki hai. woh o wo

Usne iss pyar ka anjaam soch rakha hai
Usne iss pyar ka anjaam soch rakha hai

Chand bhi aa gaya chhat pe, sitare bhi
Mehndi bhi rach gayi, gulab bhi, hajare bhi
Kaun dekhe kisi seene mein angaare bhi
Dil-e-barbaad mein shola aur chingari hai
Mujhe pata hai kis jashan ki taiyyari hai

Usne iss pyar ka anjam soch rakha hai
Usne iss pyar ka anjam soch rakha hai
Usne iss pyar ka anjam soch rakha hai
Usne iss pyar ka anjam soch rakha hai