[Chorus]
Khaya piya kuch nahi glass toda barana
Dushmaan anaj ka Na ghar ka na ghat ka
Garibi me ata gila amdani athanni
Kharcha rupayya paisa bolta hai
Khaya piya kuch nahi glass toda barana
Dushmaan anaj ka Na ghar ka na ghat ka
Garibi me ata gila amdani athanni
Kharcha rupayya paisa bolta hai
[Verse 1]
Rokda rok k tax bhare
Soch k desh yeh chal padega
Aas me kabse lage hum
Baat re jaat me humko yaha
Khud toh maza kare
Faltu muzaakre
Janta Mazak hai
Rasto pe aag hai
Dange fasaad toh
Maamuli baat par
Kab tak yeh chalte rahega
Sawal hai puch lu
Toh jaal hai
Na puchu toh
Chaal hai
Bawal hai
Kamaal hai
Prakurti Misaal hai
Sare doshi Tadi paar hai
Bekaar hai
Teri har koshish
Tu Maan le
College k din se mai thoda foodie hu
Moody hu jhooti tasalli se door hi hu
Doorbin lu Dhoondu farishte ko
Bigde zamaane me uljheve rishte ko
Saahil pe kashti ko
Phir se chala dere
Taklife tafri me
Safar me suffer
Kon hai Tum mujhko
Batarele yeh kar tu wo kar
Aisa kar waisa kar
Tuteve glass ka paisa bhar
Chaude me bhaag rela kidhar
Thela idhar uspe dhande me tangi
Zulfo ko vastara takle ko kangi
Moti hai chamdi buddhi me gandagi
Khud kare theek humpe pabandi
Mai maal leke gayab
Tujhko Thamaya
Jo mujhko pasand nahi
Bhalte ki bandi
[Chorus]
Khaya piya kuch nahi glass toda barana
Dushmaan anaj ka Na ghar ka na ghat ka
Garibi me ata gila amdani athanni
Kharcha rupayya paisa bolta hai
[Refrain]
Ede chale bhot kare saathi mere hum akele
Dewaano ki fauj chale
Coast pe se top chale
Kaafi hai re hum akele dere phere
Wayre nayre gehre gehre
Leke aye kya the tum rab ka kamal
Leke gaye kuch nahi sirf iman or amal
Ruhaani zindagi yeh bhi ek sawal
Oho bole puraane chawal
[Chorus]
Khaya piya kuch nahi glass toda barana
Dushmaan anaj ka Na ghar ka na ghat ka
Garibi me ata gila amdani athanni
Kharcha rupayya paisa bolta hai
(paisa paisa paisa bolta hai)
[Verse 2]
Ghar pe raha tu
Akelapan mita door
Kuye ka mendak
Samundra ki shark
Asthi ki khaak
Masti ki raatien
Dosto k saath
Phurtili aanhe
Khalbali sansani
Manchali raahe
Sach hai zubaan pe
Jhoot pata hai
Mujhko bata nahi
Usko bata
Jaa usko bata
Tu sabko bata
Jawani ek tohfa natija budapa
Purani hai soch tarika naya kya
Bana ni hai fauj dharti par aaja
Zara sa reh khauf me satya sarasar
Alti bhalti
Public nikalti
Mai leta kalti
Fauran
Ulti palti
Municipality
Local flow
Soch foreign
Ek uda panchchi
Do char kamti
Do chaar dost
Log hai Don
Public bajati horn (kyaa)
Sau taka asli don (kon)
Filhaal kya haal ho raha in tension wale raaton me
Maahol kya rukh lera raha music se nifak homie
Tum azab se maaf ho paak ho nek ho ek ho
Dekho likho seekho bhejo kala ko pyar karo isse aise side me na pheko
Buniyade pakki hai mohtaaj ek k hi
Zaroori maamlo ko har roz dekh k hi
Jaldbaazi faysle me har baar ruk k hi
Nafs se jihad hai khaate hum haq ka hai
Buniyade pakki hai mohtaaj ek k hi
Zaroori maamlo ko har roz dekh k hi
Jaldbaazi faysle me har baar ruk k hi
Nafs se jihad hai khaate hum haq ka hai
Tarakki ki khoj me
Dande pade soch pe
Regressive tu mai modern
Bail karo isko
Yeh teen so do
Chod do isko fauran
Bhai tera role me
Fayde k jhol me
Chal kapat ka Kaaran
Kaafi tamasha
Alag hi bhaasha
Andaaz asaadhaaran
[Chorus]
Khaya piya kuch nahi glass toda barana
Dushmaan anaj ka Na ghar ka na ghat ka
Garibi me ata gila amdani athanni