Momina Mustehsan
Ko Ko Korina
[Intro]
Mere khayalon pe chaee hai ik surat matwali si
Nazuk si sharmili si masoom si bholi bhali si
Rehti hai woh dur kahin ata pata malum nahin

[Chorus]
Ko Ko Korina, Ko Ko Korina
Ko Ko Korina, Ko Ko Korina
[Verse 1]
Jheel si gehri ankhen kiski phool sa kiska chehra
Kali zulfein nagin bankay deti hain kispay pehra

Tum poocho ge mujhe se
Duniya bhar mein
Koun hai aisa haseen
Tere khayalon main chaee hai ik surat matwali si
[Verse 2]
Ho sakta hai kal khud mujh ko waqt wahan le jaye
Mein ghabraoun dekh ke usko woh mujh se sharmaye

Mein keh doonga dilbar
Mein ne shayad
Dekha hai tum ko kahin
[Refrain]

[Outro]
Ko Ko Korina, Ko Ko Korina
Ko Ko Korina, Ko Ko Korina
Ko Ko Korina, Ko Ko Korina
Ko Ko Korina, Ko Ko Korina