Genius Romanizations
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Lazim hai ke hum bhi dekhenge
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Wo din ke jis ka wada hai
Jo lauh-e-azl mein likha hai
Hum Dekhenge
Hum bhi dekhenge
Hum bhi dekhenge
Jab zulm-o-sitam ke koh-e-garan
Rooi ki tarha ur jaenge
Hum Dekhenge
Hum mehkoomon ke paaon tale
Ye dharti dhar dhar dharkegi
Aur ahl-e-hakam ke sar oopar
Jab bijli kar kar karkegi
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Bas naam rahega Allah ka
Jo ghayib bhi hai hazir bhi
Jo manzar bhi hai nazir bhi
Utthega an-al-haq ka nara
Utthega an-al-haq ka nara
Jo main bhi hoon, aur tum bhi ho
Aur raaj karegi khalq-e-Khuda
Jo main bhi hoon aur tum bhi ho
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge
Hum Dekhenge