Genius Romanizations
Adnan Sami - Tu Yaad Aya
Huyi mahhobat ki baat phir
Sata rahi hai yeh raat phir
Bhiga rahi hai in aankhon ko
Bewaqt ki yeh barsaat phir
Aa gaya kyu labon pe, ye naam tera bata?
Tu yaad aya, tu yaad aya
Tu yaad aaya hai aaj phir
Jo teri baaton ne dil dukhaya
Tu yaad aya hai aaj phir
Kabhi yeh saansein thi bas tumhari
Jo ab hain zaaya fazool hain
The khwaab jin aankhon mein wafa ke
Wahan judaai ki dhool hai
Guzar gaya tu main hi wahan hoon
Jahan tu aaya na laut kar
Na phir kisi se yeh dil lagaya
Tu yaad aya hai aaj phir
Tu yaad aya, tu yaad aya
Tu yaad aaya hai aaj phir
Jo teri baaton ne dil dukhaya
Tu yaad aya aaj phir
Mujhe hawayein suna rahi hain
Jo baatein hum tum bhula gaye
Hain aate jaate mujhe bhigate
Kyun aaj mausam rula gaye
Use talaashun jo kho gaya hai
Kahan milega woh humsafar
Jise tha maine kabhi bhulaya
Tu yaad aaya hai aaj phir
Tu yaad aya, tu yaad aya
Tu yaad aaya hai aaj phir
Jo teri baaton ne dil dukhaya
Tu yaad aya aaj phir
Ho meri jaan yaad aaya
Tu yaad aya