Genius Romanizations
Ayushmann Khurrana, Tanishk Bagchi & Vayu - Mere Liye Tum Kaafi Ho (Romanized)
[Verse 1: Ayushmann Khurrana]
Teri meri aisi jud gayi kahaani
Ke jud jaata jaise do nadiyon ka paani
Mujhe aage tere sath behna hai
Jaana tumhein to hai teh bata jaani
Ke aye zindagi kaise banti suhaani
Mujhe har pal tere sath rehna hai
Tu kuchh adhoore se
Hum bhi kuchh aadhe
Aadha aadha hum jo dono mila dein
To ban jaayegi apni ik zindgaani
Yeh duniya mile na mile humko
Khushiyan bhaga dengi har gham ko
Tum sath ho phir kya baaki ho
[Chorus: Ayushmann Khurrana]
Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho
[Verse 2: Ayushmann Khurrana]
Ek aasmaan ke hain hum do sitare ke
Ke takraate hain toot’te hain bechare
Mujhe tumse par yeh kehna hai
Chakke jo do sath chlte hain thode to
Ghisne ragadne mein chhilte hain thode
Par yoon hi to kat’te hain kachche kinaare
Yeh dil jo dhala teri aadt mein
Shaamil kiya hai ibaadat mein
Thodi khuda se bhi maafi ho
[Chorus: Ayushmann Khurrana]
Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho
Mere liye tum kaafi ho
[Outro: Ayushmann Khurrana]
Mere liye tum kaafi ho