Genius Romanizations
Anuj Singh - Khwaab Mein (Romanized)
Bekaar si, baatein woh karti hai
Khayal apne, hi bunti rahe
Kal ki fikar, fikar naa koi karti hai
Hosh aaj kaa bhi, na usko rahe
Bewkoofiyan bhi thodi karti hai
Haseen khaamiyan bhi uski lagti hai
Rokun dil ko main, saath uske naa rahe
Naasamajh, fir bhi mujhse ye kahe
Par hoti jo paas mei
Hoti jo saath mei
Aisa lage, mil gaya woh
Dekha tha jo, khwaab mein
Hoti jo paas mei
Hoti jo saath mei
Aisa lage, mil gaya woh
Dekha tha jo, khwaab mein
Naa balkhaaye, naa sharmaaye
Baal bikhre unko naa sawaare
Guzaare shaamein, nange paaon se
Chhu ke lehrein sagar kinaare
Usme jo nazaakat hai
Uski mujhko aadat hai
Bawra dil hua, pyaar ho gaya zara
Safar nayaa hai mera dil dara
Par hoti jo paas mei
Hoti jo saath mei
Aisa lage, mil gaya woh
Dekha tha jo, khwaab mein
Hoti jo paas mei
Hoti jo saath mei
Aisa lage, mil gaya woh
Dekha tha jo, khwaab mein