Genius Romanizations
DIVINE - Punya Paap (Romanized)
[Intro]
Jab se paida tab se kiya humne
Jab se paida tab se kiya humne
Jab se paida tab se kiya humne
Jab se paida tab se kiya humne

[Chorus]
Jab se paida tab se kiya humne punya paap
Jitna mila dugna diya kiya punya paap
Khoon paseena chauda seena karna punya aaj
Hum na darte paap karke seekhe punya

[Verse 1]
Punya paap punya paap
Kaun hai khaas kaun hai saath?
Kaale baadal kaala baarish
Kya hai dharm kya hai jaat
Kaun banaya kiska haath
Sarfira ye sarfarosh sarvanash
Kisko chunta desh ka labh ya khudka swarth
Manavta par kar prakash
Nahi samajhta mujhko dharm jaat
Tu daddy pe tha main Maggi pe tha
Tu skinny mein hai main baggy mein tha
Yeh Rap aur Hip-Hop mera planning nahi tha
Main paise kamane ke planning mein tha
Ganda ya saaf mangta anaa
Jab doodh nahi ghar pe
Tab kuch nahi aata hai yaad
Kya hai punya aur kya hai paap
[Chorus]
Jab se paida tab se kiya hum ne punya paap
Jitna mila dugna diya kiya punya paap
Khoon paseena chauda seena karna punya aaj
Hum na darte paap karke seekhe punya

[Verse 2]
Punya paap punya paap
Kal hai punya aaj hai paap
Kaale kapde kaali raat
Kaun hai saath lambi ghat
Gaadi chalti ghumte haath
Mehnat zyaada luck dе saath
Deal jab karte patte khaas
Suffеr karte bante laash
Girne ka mera hai intezaar
Rahenge zindabad jab tak intekaal
Unleashed yeh sher mere daat pe rakth hai
Jalan hai bimaari jo yeh saath mein rakhte hain
Isliye COVID se pehle hum faasle rakthe hain
Baimani ki wajah badalte takht hain
Chhapri hai tu tere gaane saste hain
Jo lad nahi sakte woh gaali bakte hain
Moses banjate jab pani sar pe hai
Jaali ko mante yahan andh bhakt hai
Bhagwan mein vishwaas insaan dhokebaaz
Ek number rahenge jab tak bante nahi laash
DIVINE mera spirit hum bante nahi laash
Hum takht pe baithe tu karte reh naach
Tere ginte k din hai hisaab mein le saans
Hum O.G. jiyenge
[Chorus]
Jab se paida tab se kiya hum ne punya paap
Jitna mila dugna diya kiya punya paap
Khoon paseena chauda seena karna punya aaj
Hum na darte paap karke seekhe punya

[Outro]
Jee le beta teri aani wali maut
Jitna karle tu punya ya paap
Band pinjre se ude hum azaad
Khud parosne pe aata mujhe swaad
Doosri album nahi, meri doosri yeh kitaab
Hum bille yeh billi sirf raaste de kaat
Sirf darte hum bhagwan se
Karte punya aur paap