Vishal & Shekhar
Sultan
Kismat jo aave saamne
Tu mod de uska panja re
Kismat jo aave saamne
Tu mod de uska panja re
Chal mode de uska panja re

Saat aasmaan cheere
Ab saat samandar peere
Chal saat suron mein karde ye elaan

Himmat hai toh roko
Aur zurrat hai toh baaton
Re aaj hatheli pe rakhdi hai jaan

Khoon mein tere mitti
Mitti mein tera khoon
Khoon mein tere mitti
Mitti mein tera khoon

Upar Allah niche dharti
Beech mein tera junoon
Aye Sultan!

Seene mein tere aag, paani, aandhi hai
Mehnat ki dori honslon se baandhi hai
O… Seene mein tere aag, paani, aandhi hai
Mehnat ki dori honslon se baandhi hai
Hai parvat bhi tu hi
Aur tu hi pathar hai
Jo chahe tu wo hi ban jaye
Teri marzi hai

Aansu aur paseena
Are hai toh dono paani
Par mod ke rakh de dono hi tufaan

Chot ho jitni gehri
Ya thes jigar mein thehri
Toh jazbaa utna zehri hai ye maan

Noor-e-sukoon niyat se junoon
Ye tujhko pata hai
Tujhme chhupa hai
Tu usko le, usko le pehchaan

Tera iraada tujhse bhi zyaada
Usko pata hai jo lapata hai
Tu itna le, itna le ab maan

Woh dil mein hai tere
Tu uski nazron mein
Chal hadd se aage re..
Chaha jo tune wo paane
Chal banja re Sultan..
Saat aasmaan cheere
Ab saat samandar peere
Chal saat suron mein karde ye elaan

Khoon mein tere mitti
Mitti mein tera khoon
Khoon mein tere mitti
Mitti mein tera khoon

Upar Allah niche dharti
Beech mein tera junoon Sultan!

Saat aasmaan cheere
Ab saat samandar peere
Chal saat suron mein karde ye elaan

Himmat hai toh roko
Aur zurrat hai toh baaton
Re aaj hatheli pe rakhdi hai jaan