Jab bolna bhi aata na tha tujhko pukara hai maa
Har dard seh ke duniya ke tune mujhko banaya hai maa
Jab na khuda yahan aa saka to tujhko banaya hai maa
Meri dua hai maa
Tujhe pataa hai na
Teri god mein hi
Meri duniya hai maa
Meri dua hai maa
Tujhe pataa hai na
Teri god mein hi
Meri duniya hai maa
Ungli pakad ke chalna sikhaya
Har jeet ka rasta dikhaya
Ummeed kya hai tune bataya
Har baat jaanti hai
Tu saath hai to hai ye ghar
Tera pyaar hai to kya fikar
Main jhooth bhi boloon agar
To sach maanti hai
Tu kitni bholi bhaali hai seene lagaya har baar
Mujhe loriya sunati thi soyi nahi kayi raat
Jab na khuda yahan aa saka to tujhko banaya hai maa
Meri dua hai maa
Tujhe pataa hai na
Teri god mein hi
Meri duniya hai maa
Meri dua hai maa
Tujhe pataa hai na
Teri god mein hi
Meri duniya hai maa