T-Series
Jaane Kyon
[Chorus]
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon woh kisi pe marte hain
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon woh kisi pe marte hain
Jaane kyon... jaane kyon
Jaane kyon, jaane kyon, jaane kyon...

[VERSE 1]
Pyaar mein sochiye toh bas gham hai
Pyaar mein joh sitam bhi ho kam hai
Pyaar mein sar jhukana padta hai
Dard mein muskurana padta hai
Zehar kyon zindagi mein bharte hain
Jaane kyon log pyaar karte hain
Jaane kyon... jaane kyon
Jaane kyon, jaane kyon, jaane kyon...

[VERSE 2]
Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin woh tanha hai
Pyaar bin jeene mein rakha kya hai
Pyaar jisko nahin woh tanha hai
Pyaar sau rang leke aata hai
Pyaar hi zindagi sajaata hai
Log chup chup ke pyaar karte hain
Jaane kyon saaf kehte darte hai
Jaane kyon... jaane kyon
Jaane kyon, jaane kyon, jaane kyon...
[VERSE 3]
Pyaar bekaar ki musibat hai
Pyaar har tarah khoobsurat hai
Ho, pyaar se hum door hi achche
Arrey, pyaar ke sab roop hai sache
Ho pyar ke ghaat joh utarte hai
Doobte hai na woh ubharte hai
Jaane kyon... jaane kyon
Pyaar toh khair sabhi karte hain
Jaane kyon aap hi mukarte hain
Jaane kyon... jaane kyon
Jaane kyon, jaane kyon, jaane kyon...