Don’t Hold Back 2.0

Credits: Ranveer Singh
Kaaryakram mein aapka swaagat hai

Sach bakne ki humein buri aadat hai

Kyunki haq ki ladaai ibaadat hai
Teri shaamat hai, aayi aafat hai

Humein dekh ke tu kaahe munna bhaagat hai?

Are sun toh, ruk na ek minute!

Stunt hone wale beat pe unginat





Likha maine kya mujh ko toh khabar nahi

Kalank mitaane ki hoti rubber nahi

Berang zindagi mein hota colour nahi

Jaldi ka kaam shaitaan ka hota hai

Waise hi Devil ko bhi sabar nahi



Jaise drugs ka ab hip-hop mein khoya

Jaali rapperon ko leke maine khopche mein dhoya

Apna level bottom se top pe pohonchaya

Leke haathon mein kalam bojha peeth pe na dhoya

Maathe ka kalank hard work ki rubber se mitoya

Huye sab hairaan ghar waale puchein kaise hoya?

Arrey hip-hop mein maine char saal bitoya





Jab khauf mitey, awaaz uthe

We don’t hold back

Inquilaabi aghaaz karein

We don’t hold back



Jab khauf mitey, awaaz uthe

We don’t hold back

Inquilaabi aghaaz karein

We don’t hold back





Dil dimaag mein do feet ki doori hai

Dimaag toh bolega dil ki bhi sunna zaroori hai

Nakli baneya phirta hai yaar mujhse toh tu dur hi reh

Achha toh tu hai nahi achaai teri majboori hai

Dar dar ke hum mar mar ke apne ghar ke hi kamro mein

Band pardo ke peeche sapne hum mann bhar ke jeete apne

Dekh nahi sakta par aankhein teri khuli hai

Jis rassi ko pakad kar chadh raha teri suli hai





Kehta hakeekatein mein zeenatein hain dard ki

Unnees paar na main baatein karta mard si

Garm si yeh saansein main rok shabd khel karta

Rooh jamne lagti sabki panktiyaan ye sard si



Nok pe kalam ki kaagazi main karta kaamkaaz

Karne lagta rap jab main hiltey sabke sur-o-saaz

Choom leta aksharon ko harkatein hai ishqbaaz

Pehle thi manaahi ghar mein aaj purey ghar ko naaz





Aarzoo baithi tarazoo par vazan bhaari, kasam khaari

Todugi kaata fata fat, dhapa dhap, khacha khach, sataa sat

Chaate, laatein, ghusse khaa ke

Jhoome hu main kehte

Saath naa dete par maine bhi dene par bola kidhar?

Likhaa idhar

Teekha laga toh khaa meetha

Beeta waqt

Thehre ye billi mai cheeta ab

Cheena zapt

Ye mera haq

Saansein zapt kaatil hum

Game mein shaatir hum

Maahir hum Bambaiya swaad

Come bhaiyya rap

Dum nayi ae whack?

Hum se ye great banna chahein sab

Kandivali 101 mic pe check

Side de be

Hype hai tere bhai ki

Baith ja ride le be





Jab khauf mitey, awaaz uthe

We don’t hold back

Inquilaabi aghaaz karein

We don’t hold back



Jab khauf mitey, awaaz uthe

We don’t hold back

Inquilaabi aghaaz karein

We don’t hold back





Maine kaam kara, baatein nahi

Sapne puraane par raatein nayi

Socha ki logon se maangu madad

Mere jaiso ko toh muh woh lagaate nahi





Phir sote sote jaag gaya main

Bakte bakte bhaag gaya main

Chalte chalte chaa gaya main

Aage aage aa gaya main





Rakta na bandook shastra 8 angoolon ki hai

Pata nahi kyun chubtein kaante baatein jab gulon si hai





Aa gaya main aag lagane

Lanka ko ab raakh banane

Raavan ko kaise jalaayein?

Yeh toh sirf Ram jaane!





Saare kahein Don't hold back par

Rap kar bhai

Sabko vatka ke jhatka de latka ke pankhe pe

Bhatkaake beat pe machva de street pe

Pakdu main beat ko pakde tu ko

Gehere mein leke dekh dum ghoota

Pankh tuta, panktiyon se rang chhuta

Rangat mein haan

Sangat mein meri tu bhang hoke dang hoke funk hoke

Thhoda sa dhang khoke

Thhoda sa mann khoke mauj manaa

JACK & JONES wala gaana baja

Gaana baja