Mohit Chauhan
Khaabon Ke Parinday
Ude, khule aasaman mein
Khaabon ke parinday
Ude, dil ke jahaan main
Khaabon ke parinday
Oho, kya pata
Jaayenge kahan

Khule hain jo pal, kahe yeh nazar
Lagta hai ab hai jaage hum
Fikrein jo thi, peeche reh gayi
Nikle unse aage hum

Hawa mein beh rahi hai zindagi
Yeh hum se keh rahi hai zindagi
Oho, ab toh
Jo bhi ho so ho

Ude, khule aasaman mein
Khaabon ke parinday
Ude, dil ke jahaan main
Khaabon ke parinday
Oho, kya pata
Jayenge kahan

Kisi ne chua, toh yeh hua
Phirte hai mehke mehke hum
Khoyi hain kahin baatein nayi
Jab hain aise behke hum
Hua hai yun ke dil pighal gaye
Bas ek pal mein hum badal gaye
Oho, ab toh
Jo bhi ho so ho

Roshni mili
Ab raah mein hai ik dilkashi si barsi
Har khusi mili
Ab zindagi pe hai zindagi si barsi

Ab jeena humne seekha hai
Yaad hai kal, aaya tha woh pal
Jisme jadoo aisa tha
Hum ho gaye jaise naye
Woh pal jaane kaisa tha

Kahe yeh dil ke jaaun dil ki tu
Jahan bhi leke jaaye aarzoo
Oho, ab toh
Jo bhi ho so ho, jo bhi ho so ho (ude)
Jo bhi ho so ho (ude)
Jo bhi ho so ho