Kaam Bhaari
Mehfil - E - HipHop
[Verse 1: Kaam Bhaari]
Ghar pe tu baith, zara sun!
Chutti mili hai toh zindagi jee le
Daaru pee ke zara kam jhoom!
Gutli mat gin beta aamras pee le
Mujhe pata hai tu baith ke ghar pe kare kya
Mujhe pata hai tu haath milaane se darega
Abhi baith ke din gin, nahi toh tere baal gin
Phone tera band hai, phone ko nahi charging
Mauka tha aane ka paas tab door gaye
COVID aaya jab se, tab se mujhe bhul gaye?
Panic nahi hone ka bhai
Poche ko achche se dhone ka bhai
Mask toh pehle se pehna tha tune
It’s okay, agar tu mask ko na chune
Zindagi thakeli, chaddi phateli
Shuddhi khatam, buddhi kateli
Karta rehta har dam khud ki pateli
Khopdi hateli, jhopdi tuteli
Tholle ki taaqat ab bolegi
Logo ki acche si kholegi
Kar madat kar kadar fikar kar
Logo se apne tu pyar ka zikr kar
Kya pata kal chale jaayega tu marr kar
Uske pehle jeeele accha kuch kar kar!
Jeena kya jeena jo maar daale zinda
Woh insaan hi jeeta jo gaaad daale chinta
Peace out!

[Verse 2: Spitfire]
Haan, Aaj Mishra Hai Magan
Likhta Gulaab Main Jo Dil Mein Hai Chubhan
Samjhe Na Baat Meri, Pankti Na Sugam
Josh Mein Hai Aag Tera Swaad Jaise Rogan
Naam Mera Mohan Ye Pen Jaise Bansuri
Na Ga Tu Bolte Ye, Pen Meri Rampuri
Sadhu Main Sach Likhu Lagti Hai Baat Buri
Claim Karte Hai Kaise Karke Ye Kaam Chori
Deri Mat Kar Seedha Deri Road Pe Aa
Abhi Sun Le Main Bolunga Bas Ek Dafa
Khel Mein Jaan Meri Aake Gaye Bahot Se
Par I N C I N K Khade Kare Raungte
Teacher Bolte The Raakh Tera Aane Wala Kal
Desh Bole Aaj Mishra Tu Thookte Hi Chal
Aag Aag Lagi, Dial Karo 101
Mehfil-E-HipHop! Aake Zara Dekh Show Pe
Bahot Hai Class Syahi Jaisa Hai Libaas Kala
Pichle Saal Tabhi Fek Di Thi Paathshala
Dream Team Kalakaron Ye Dal Khada
Aakar 20 Ka Ke Aayega Ab Zalzala
Fal Mila Dekho Dabe Huye Beej The Hum
Kaatil Jubaan Thode Hat Ke Hai Leek Se Hum
Swagat Sabhi Ka Hai Ye Ghar Pura Mixture Hai
Aur Ye Trailer Hai, Baaki Abhi Picture Hai
[Refrain: Spitfire]
Baaki Abhi Picture Hai
Aur Yeh Trailer Hai Baaki Abhi Picture Hai
Baaki Abhi Picture Hai
Aur Yeh Trailer Hai Baaki Abhi Picture Hai


[Verse 3: SlowCheeta]
Maine bola jo bhi bola, khola dil ka woh jhola
Jis mein tha gola baari saari baatein woh puraani
Bada ghar chhota ladka, logo pe woh bhadka
Par woh masala mangta hai kyu ki daal main woh tadka
Na mile toh lage phika bore
Zindagi kathor mujhe tod deti
Rap fevicol jaisa jod deti
Slow ke show pe
Vibe sau crore par maangu khaali do peti!
Stage pe bhi jum kar reh
Public bole Slow C ek number hai
Bihari babu ka toh spit game strong
Kabhi bar, kabhi paan, abbe launda ye bhayankar hai
Poochh mat mere se, “How are you?” I'm fine, be
Hero banne naye dekh khade front line pe
Kaam day N night be
Aap sab ko salute hum sab ke side se
Always in the lime light sun kissed
What you sayin' on the mic? We run this
Kaam, Spit, Devil and me
Tabhi hater abhi bole, We Love this!
[Refrain: Devil the Rhymer]
On the beat on the beat
Public bole launda bhayankar hai
Launda bhayankar hai

[Verse 4: Devil the Rhymer]
Iss gaane mein shaitaani kam thi, leke aaya shaitaan ye sanki
Sangeet se mile shabd anarth hua, ban gaya b***** ye bhukamp
Mein dil lubhata sach mein ladke dekh udahran
Tere ghar mein Mere gaane aate teri behen maa ko hai pasand
Mere kya gunah hai is mein pen dole kaagaz pe maze me
Jis ko dikkat aake rokle khud ye hilta pendulum
Ugte suraj ko salaam hai aaja bhid kala mein
Baatein kar rahe hai ye struggle ki jo chale na do kadam
Kachra kar de bahar dil se mann mein rakh na chhalkapat
Dhwani suni Devil ki phir se chal rey burbak sarpatak
Dil se likhta hai Delhi ka banda hai, khooni kalam aur shabd zinda hai
Hasi ko dhamki na honth se hatna hai kaagazon mein dukh hai dafnaaye
Garmi ni mehnat ka paseena hai mere jale pe aur namak laaye
“Job kar, rapper kyun banna hai?” Kyun ki ye pita ka sapna hai
Kamiyo pe na kar tu parda, nasamjh buddhi sudhar ja
Karte shaq jo tujh pe sabko hairan karde tu
Ye pal mein badle hai samay, sun muft mein le mehnga lesson
Rassi pankha chhod dard hai balm mal le tu
Kal tak sunta na tha koi bhi hum ko, aaj sunke pagla gaye hai
Tay safar taano se taali huye kaabil hai
Shaanti shor mein parivartan kar diya kam
Gurutvaakarshan launde udd rahe hai jab bhi show par hum sajaate mehfil hai

[Outro: Devil the Rhymer]
Aankhein khushi se hi nam rakho
Baateein bol me wazan rakho
Sapne sach honge sabar rakho
Darr kyu pariwaar jab sang hai to
Bang!