KR$NA
Bohot Sahi
[Verse 1: J Trix]
Raato ko jaag kr mehnat jo krta, wo zindagi meri mazak nahi
Rukte na aandhi ke aane se, sarfire ladke jo aadat se baaz nahi
Dikkate kaafi hai dheke h dhoop to jhele h barsaat kahi
Baato se maane na log to chode h ghuse or maare h laat kahi
Ye wo khaandaani style baap jesa beta mai rukta ni bhai
Khaata jaha pr mai thukta nahi bhai
Haq ka hu khata mai loot ta nahi bhai
Saath diya jisne bhi bhoolta ni bhai, oro ke bhich jada khulta ni bhai
Kaccha ni mai apne usool ka ni bhai
Mai girta daily kyu ki roz krru try
Yeah yeah
Ajeeb si ye talab hai, barkat na milti to hoti ye tadap hai
Bohot saare kehte the rasta ye galat hai
Sunni bas khud ki ab chhoo lena falak hai
Jeeta to swag or hara to narag hai
Teri jala ke ye lagate baraf hai
Raaste me aate the log bhi to kaafi
Maaf kiya tujh ko to maa ki ye jhalak hai
Roz krru kaam,roz bade daam
Roz bada naam rap subha shaam, soch na ye aam
Koi na lagam, kaichi zuba sabko salam
Jo bhi hai saath, or ye bhai log bhi saare hai kaam
Mai mahir banate mehfil jaha hote shamil
Likhawat esi na hai sabko haazil
Bhare panne ese hoye sab Mutasir
[Chorus: J Trix]
Ab krte hai jo mazi, kama te h paise to
Lagti h zindagi
Bohot sahi,bohot sahi
Lagti h zindagi
Bohot sahi,bohot sahi
Rookne ka hum mai koi
Shauk nahi, shauk nahi
Lagti h zindagi
Bohot sahi,bohot sahi
Lagti h zindagi

[Verse 2: KR$NA]
Bohot sahi bohot sahi
Liya mene koi loss nahi
Ab likhoo jab verse bhi, hilti hai dharti
Rapper jo farzi hai Khauf me hi
Mere sheher me launde hai soft nahi
Swinging that Iron, ye golf nahi
KR$NA jab aaya to beef ka safaya
Gau-rakhshak’on ke paas job nahi
Kill kiya tab, mene kill kiya aaj
Jub dil kiya, bhaiya mene kill kiya samp
Mere will ki hai baat, hasil kiya taj
You don’t really want smoke
Khol do khidkiyan aaj
Shaitaan dekho peeth pe savaar
Asli me hard tu? street me swaal
Weak hai na bars - ye jeete na chal
Gandhi ke vichaar par beat pe jawahar
Baaki jab jaan, to waqai me shaan
Asli ho kaam toh sunti Awaam
Tarakki pe dhyaan hai to sabko salaam
Par waar ke tufaaan me ye kalam bhi abdul kalam
I Call it Kalam-ity, (ha)
Inka fan base banawati, (ha)
Inka toh style hai comedy (haha)
Quantity hai par quality kahan?
Me to yahan already tha
Umar jub Sola T(h)i, Do Re Mi Fa
Kolkata sheher me Jtrix hai dost
Baaki to mera wahan Koe-na-Mitra
Raising the bar, blazing a path
Hustle thi real meri me to kabhi lazy na tha
Me to bars ka gulaam par kaidi na tha
Khule aam le loon jaan, de do meri saza
[Chorus: J Trix]
Ab krte hai jo mazi, kama te h paise to
Lagti h zindagi
Bohot sahi,bohot sahi
Lagti h zindagi
Bohot sahi,bohot sahi
Rookne ka hum mai koi
Shauk nahi, shauk nahi
Lagti h zindagi
Bohot sahi,bohot sahi
Lagti h zindagi
Bohot sahi

[Instrumental]