KR$NA
Vijay
[Verse 1]
Aaj bhi is desh me gareebi ka hisaab nahi
Sapne to hai laakho magar padhne ko kitaab nahi
11 saal ki umar hai vijay karta hai kaam
Subah se leke sham, apne haalato ka gulam
Aur dikkat hai wahi, kyun ki khelna kudna iski kismat me nahi
Ye fasa jivan ke jaal me, dekhta hai ye gaadiyan makaan
Ye bollywood filme aur ye ek din rehna chahta hai shaan se
Magar, maa baap majboor, majdoor
Iske chote kandho par bhojh hai khoob
Roz sehni padti hai dhool, mitti aur dhoop

[Pre-Chorus]
Sapne lagne lage hai jhooth
Vijay hai iska naam
Lekin iski jeet abhi hai durr

[Chorus]
Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare
[Verse 2]
Vijay hua 16 saal ka 2 choti behne
Aur gharbar sambhalna padhna likhna sikh na paaya
Toh paisе ke liye pareshan
Subah shaam karе kaam
Iske sapne adhoore toh ye kaisa anjaam
Isme vijay ka kasoor nahi
Inko gareeb rakhte hai mantri
Jinke asool nahi, voto ke liye bolte hai jhooth
Yhi bhrastachar ko karte majboot
Fir bhi milti hai chooth
Kanoon ke haatho se rahe durr
Wahi, parivaar ka bojh
Jab iske pass kya chara
Jivan kathor, koi na bacha sahara
Kaise kare ye guzara
Bolun dobara, Ye sirf vijay ki kahani nahi hai
Ye hai hindustaan ki
Keemat kya jaan ki
Kahan saboot, kya atoot
Yahan sehni padti hai bhookh
Kab milegi gareebi se chooth

[Pre-Chorus]
Sapne lagne lage hai jhooth
Vijay hai iska naam
Lekin iski jeet abhi hai durr
[Chorus]
Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

[Outro]
Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Wo din aayenge
Hum na sar jhukayenge
Hume ladna hai aaj
Taaki kal jeet hogi pass humare

Kal Jeet Hogi Pass Humare