Kishore Kumar
Aapke Anurodh Par Main Ye Geet Sunaata Hoon
Aap ke anurodh pe, main ye geet sunaata hoon
Apne dil ki baaton se, aapka dil bahalaataa hoon
Aap ke anurodh pe ...

Mat poocchho auron ke dukh mein, ye prem kavi kyon rotaa hai
Bas chot kisi ko lagati hai aur dard kisi ko hotaa hai
Door kahin koi darpan toote, tadap ke main reh jata hoon
Aap ke anurodh pe ...

Taareef main jiski karta hoon, kya roop hai vo, kyaa khushboo hai
Kuchh baat nahin aisi koi, ye ek suron ka jaadu hai
Koel ki ek kook se sabke dil mein hu uthaata hoon
aap ke anurodh pe ...

Main pehne phirataa hoon jo, vo zanjeerein kaise banti hain
Ye bhed bata doon geeton mein tasaveerein kaise banti hain
Sundar honthon ki laali se, main rang roop churataa hoon
Aap ke anurodh pe main ye geet sunaataa hoon ...