Papon
Humnava
[Chorus]
Ae humnava, mujhe apna bana le
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Hoon akela, zara haath bada de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

[Verse 1]
Kab se main darr darr phir raha
Musaafir dil ko panaah de
Tu awaargi ko meri aaj thehra de
Ho sake toh, thoda pyaar jatta de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

[Verse 2]
Murjhaayi si shaakh pe dil ki, phool khilte hain kyun
Baat gulon ki zikr ka, achha lagta hai kyun
Un rangon se tune milaya, jinse kabhi main mil na paya
Dil karta hai tera shukriya, phir se bahaarein tu la de

[Chorus]
Dil ka soona, banjar mehka de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de

[Verse 3]
Waise toh mausam guzre hain, zindagi main kayi
Par ab na jaane kyun mujhe woh, lag rahe hain haseen
Tere aane par jaana maine, kahin na kahin zinda hoon main
Jeene laga hoon main, ab ye fizaayein, chehre ko chooti hawaayein
[Chorus]
Inki tarah, do kadam toh badha le
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de
Hoon akela, zara haath badha de
Sookhi padi dil ki iss zameen ko bhiga de