[Verse: GRAVITY]
70 ke dashak mai aaya thha Bombay nanha sa
11 saal ka ladka jisne duniya ko na jaana
Khudke pita ko khokar, maa se dur ho jaana
Talash kaam ki, na hai pehchan na thikana
Kamaani rozi-roti maa aur behno ke liye
Aur aise hi jale meri kahaani ke diye
Sheher yeh alag tha, naapa raasta har ek sadak ka
Guzaare saal Andheri-Churchgate mai samay woh nark tha ya swarg tha?
Yeh unhi ko pata par apne khoon paseene ko bahake sikha usne chamakna
Purane ghar giri bijli, sab kuch jal gaya
Khudke paero pe aake banaya usne ghar naya
Fir sehte dekha apni maa ko bimaari se, jee-jaan lagadi par na bachi woh aakhir mai
Unki maut ne diya mod zindagaani ko
Dukh hai na dekh paaya apne daada-daadi ko
Uss dard se joojhke bhi poori ki zimmedari
Do behno ki shaadi honе ke baad toka ki aani hai unki baari
Na dil tha, socha shayad rahunga brahmachari
Gharwaalo ki na taali, 37 ki umar mai jaake agni sakshi maani
Aage badhi kahaani fir khush khabri pеhle '96 mai aayi
Wapas shunya se shuru, nayi jagah, naye log
Naye rishte aur uljhan, ussi dauran mai panap raha tha khulkar
Pita ki duniyadaari jabki badhta maa se judkar
1997 mai dharti pe padhaara, tabse lekar iss pal tak hai karam karna jaana
Naam Akshay
[Chorus: Neil CK & GRAVITY]
Mera wajood. Mera wajood, yehi!
[Verse 2: GRAVITY]
Pasand na bachpan ka darpan, mai bas masoom duniya ki baatein sunn khudse nafrat bas har pal
Kaise mai samajhta khudse pyaar hai zaruri
Rakhna maan hai zaruri, apmaan hota bharkar
Badsurat lagti shakal, dard deta raha badan
Maa ne maangi madad kitno se, jeena daldal
Chakravyuh mai fasa, jagah rahi badal bas
Sapne khudko maarne ke jab bhi sar palang par
Thik na kar paata maa ke pyaar ka marham tak
Chhodi saadgi, chhod diya dharam tak
Insaaniyat se zyada na bada koi mazhab tab
Khud behtar banne ki koshish hai ache karam kar
Khudke nakshe kadam par, khudka mai vidhaata
Khudse karta vaada, iss zaban se gungunata
Likhta jaata, kis tarah ka yeh tarana ya tanaza
Jahaan ya hai janaaza jisko mai darshaata
Darshak na banna chahta, sitaaro tak hai jaana
Ab chamak itni zyada, diya bujhna nahi chahta
Bana kalakaar, saare dena chaahe jhaansa
Par ab khudpe hai vishwas, kaisa bhi ho kaanta
Usko khich nikaalke fek aage badhta jaata
Mai khud na tod paata, hai mazbut itna iraada
Musafir zindagi, chalta rahe kaafila
Maut jo sulaade toh koi yahape jaage na
Jabse yeh ehsaas jaana tabse poori taakat lagi
Aadat lagi, likhte-likhte marna hi shahadat lagi
[Chorus: Neil CK & GRAVITY]
Mera wajood. Mera wajood, yehi!!
[Verse 3: GRAVITY]
Kandhe pe mere zimmedari, kitne baar khudki jaan deni chaahi
Kuch haadso ne akkal sar mai daali, tabse mujhe meri zindagi hai pyaari
Karna bohot kuch apne parivaar ke liye, lena ghar, karna sab maa-baap ke liye khudse zyada
Rakhna behen ka khayaal, jo bhi mushkilaat ho, taiyar rehna jaana
Mai na toota sitara, pohochna waha jahape dekhega zamaana
Kalam meri umda, likhne se bhi zyada maine sikha jo woh khudke mushkilo mai muskurana
Aur jinko khoya hum sabne, saalo-saal unke gaayenge hum nagme
Humein napasand hai khota vikaas, kala pe kalakaar ka adhikaar
Jo bhi asli yaha sabko salaam, jab tak lagega na poornaviraam
Tum sab ke wajah se hu mai yaha, jab Bombay dubega dubu mai saath
Fir bhi dil mai sunte hum lehro ke raag
Pita ne boye beej meri zindagi ke, maa ne paala-posa, khushkismati hai
Chaahiye sunehri chammach tashtari pe
Naam mera hoga bada har sadi mai
Gaane mere padhe log har gali mai
Likhte jaati, ungliya yeh mannchali hai
Gehri hai likhaai zyada pandubbi se
Komal yeh swabhav jaise pankhudi hai
Par gussa jo dilado duniya jalte dikhe
Rajdhani mann ki meri chal chuki hai
Tezi yeh pakad bani Shatabdi, gatimaan
Janaab, soch tez zyada roshni se
Fir bhi karte istemal nahi, ab tak dharam pe lade
Apni aadat se na baaz aate, bharam mai rahe
Bache dare se rahe, bade hoke apni maansikta se lade, kuch kare ya mare
Hum jage se rahe, wajood khudka paaya maine khudko paake
Wajah mere log, mere rishte-naate
Aur kal agar ho jaaye meri maut
Yaad rakhna saare lamhe, har ek daur
Mujhe zinda rakhna tum dil ke paas, mera naam yaad rakhna mere dost
King Grav se pehle tha koi aur, yeh naya janam, lambi meri daud
GRAVITY se pehle hu mai Akshay, yehi mera naam, na koi sandeh