Umair
Until We Meet

[Intro : Shareh]
Kaise beete wo pal
Kaise beetega kal
Kaise jeetenge ham
Jab ye baate na hal

[Verse : Shareh]
Mai bhi rassi hu thama
Umeed ke talegi ye bhi bala
Barhao ek kadam tum bhi jaankho dekho
Ye hashar mera
Dar dar ki thokrein lapata
Aur tum bhi na waqif kuch na pata
Aur sunti thi baate tum khamakha
Ab mushkil me chora toh mushkil sambhal na
Kyun suraj ke dhalte hi uth te sawaal hai
Kyun chaand ko dete teri hi misaal hai
Wo bhi hai duur aur tu bhi
Sagge lage mere phir gale lage kyun nahi
Hosh me akar ab sukoon nhi
Aankhe hai sard meri laal pari khooni

[Chorus : Shareh]
Wo samjhate, khud chal diye
Wo sun ke bhi na sun saka
Kya ye falsafa
Yeah
Wo zinda the, kuchal diye
Ab khwaaab merе mai bun raha, sabse ghum raha
Yeah
[Verse : Shareh]
Ye ghani dhoop mе chao
Tum chalo mere joote me
Mai chalun nange pao
Agar tum ruthe the
To phir tumhe manau
Tujhe mai kitna chahu
Nazro se phir na paon
Bas ho tum aqs jaise
Lage sadme, jo likhe mere madd me
Na kar saku jo mann me, ghis raha talve
Par mushkile hai aaarzi
Kisine kaha tha, asaani ghar ko lautegi par beghar hi me raha tha
Suroor se Khumar
Junoon se Khuwaar
Sukoon se Azaab
Urooj se Zawal
Kate safar yahi
Koi dega dakhal nahi wapis aa sako toh ana mujhme zara akar nahi

[Chorus : Shareh]
Wo samjhate, khud chal diye
Wo sun ke bhi na sun saka
Kya ye falsafa
Yeah
Wo zinda the, kyun chal diye
Ab khwaab mere mai bun raha, sabse ghum raha yeah