King
EKTARFA
[Verse 1]
Tu Firse paas aa main zidd nahi karunga
Tu Firse door ja main kuch nahi kahunga
Jo tere jaane se mein betha hun mekhane mein
Mein kha chuka hun dhoka peene se nahi marunga
Jo tujhse seekha hu, tujh hi pe to likhunga
Jo tujhko chahunga, tujh hi pe to mitunga
Jo haske aunga main fir se tere samne
Hu napasand bta diyo main fir nahi dikhunga
Maine dekha tujhme saadgi rahi nahi
Maine dekha tune koshishe bohot kari
Kehe jo tujhko apne hatho se saja dun
Hai kami tu pehne bohot fir bhi lagta kyu saji nahi
Aaj bhi aise dekhe mene dayere nahi
Kе tujhse baantlun mein khudko kehdun aa rahе nahi
Hai tujhse milne
Bewafa hi the jo haske keh diya
Ke hum bhi dhokhe kha rahe nahi
Jo firse dekha meri ruk chali kalam thi
Dil dhadakta,aankhen bheegi
Baatein tang thijo tujhko socha mera poora ek janam thi
Jab tujhko dekha kisi or ki sanam thi
Dil to dukhta hai par jeena padhta hi hai
Suraj se chaand bhi akele ladhta hi hai
Main kitna bhoolun kissa tera adta hi hai
Jo kardein fasla to pyaar badta hi hai
[Verse 2]
Gaane to chal rahe par baat teri meri hai
Chirag bujh gaye par raat teri meri hai
Hua vo ek na jo sath janam ka wada tha
To iss sadi main jana kya aukat teri meri hai?
Mana main sab hi kuch jeeta kuch bhi hara na
Par jisko hara usko dekha fir dobara na
Jo dhas gaya hun jaake raet mein main aankhon tak
Tu hai samundar mujhpe boond ka sahara na
Na mujhse puch mere haal kya sitaro ka
Na dum tu kha ye aake noto ki deewaro ka
,hai paisa kya tu chhoti baatein na kiya kar
Main bss pyar se gareeb
Mujhko mol na hazaro ka
Jo mujhse puch le tu rasta baharon ka
To haske kehdu tu nazara meri aankho ka
Main jisko kosne chala hun uska naam yaad fir bhi likh na pana dosh kaam hai gawaro ka

[Verse 3]
Jo tujhko dekha asma mein chand tha nai
Kahi pe chupp gaya ke kehta lagta nahi
Isse haseen mene dekha kahi kuch ke log yu hi likhte rehte mujhpe aye khuda mein chand nahi
Ye tere reshmi jo baal jaal sazi hai
Mara nahi par jeete ji tu meri fasi hai
Daba nahi gala kyu sanse meri ghut rahi
Main kya hi du saza ja teri har saza hi maafi hai
Mujhe khabar nahi tu kis zuban mein razi hai
Dikhe asar nahi tu kis dua mein baaki hai
Agar kabhi main tere samne se guzru
Mujhko mil tu ya nahi par teri ek nazar hi kaafi hai
Ektarfa main naam bhi bana lunga
Ektarfa mein naam bhi chhupa lunga
Ek arsa jo beete teri yaado mein
Main hoke mashhoor tujhpe zindagi lutadunga