Arijit Singh
Sanam Re
[Verse 1]
Bheegi-bheegi sadkon pe main tera intezaar karun
Dheere-dheere dil ki zameen ko tere hi naam karun
Khudko main yoon kho doon, ke phir na kabhi paaun
Haule-haule zindagi ko ab tere hawaale karun

[Chorus]
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re
Karam re, karam re, tera mujhpe karam hua re
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re

Tere kareeb jo hone laga hoon
To toote saare bharam re
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re

[Verse 2]
Baadalon ki tarah hi to tune mujhpe saaya kiya hai
Baarishon ki tarah hi to tune khushiyon se bhigaya hai
Aandhiyon ki tarah hi to tune hosh ko udaaya hai
Mera muqaddar sanwara hai yoon, naya savera jo laaya hai tu
Tere sang hi bitaane hain mujhko mere saare janam re

[Chorus]
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re
Karam re, karam re, tera mujhpe karam hua re
Sanam re, sanam re, tu mera sanam hua re
Mere sanam re mera hua re
Tera karam re mujhpe hua ye
Mere sanam re mera hua re
Tera karam re mujhpe hua ye