Arijit Singh
Kabir Singh - Bekhayali (Romanized)
[Chorus]
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye
Teri nazdeekiyon ki khushi behisaab thi
Hisse mein faasle bhi tere bemisaal aaye

[Bridge]
Main jo tumhse door hoon
Kyun door main rahoon
Tera guroor hoon
Aa tu faasla mita
Tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon?

[Chorus]
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun judai de gya tu ye sawal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
Thoda sa tujhpe bhi bewajah hi malaal aaye

[Verse 1]
Hai ye tadpan, hai ye uljhan
Kaise jee loon bina tere
Meri ab sab se hai annban
Bante kyun ye Khuda mere (hmm)
Ye jo log-baag hain
Jungle ki aag hain
Kyun aag mein jalun
Ye nakaam pyaar mein
Khush hain ye haar mein
Inn jaisa kyun banun oo

[Pre-Chorus]
Raatein dengi bata
Neendo me teri hi baat hain
Bhoolun kaise tujhe
Tu toh khayalo me saath hai

[Chorus]
Bekhayali mein bhi tera hi khayaal aaye
Kyun bichhadna hai zaroori ye sawaal aaye

[Verse 2]
Nazron ke aage har ek manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan me mere
Zeher ki tarah utar raha hai
Nazron ke aage har ek manzar
Ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan me mere
Zeher ki tarah utar raha hai

[Outro]
Aa zamane aazmaale rooth ta nahi
Faaslon se hausla ye toot’ta nahi
Naa hai woh bewafa aur naa main hoon bewafaa
Woh meri aadaton ki tarah chhoot’ta nahi