[Verse 1]
Mein roz sochon dil ki sunoo
Ya phir karon jo bhi sahi mujhay lagta yahan per
Mein jaisa aik rastay pe chal raha
Zindagi lay ke chali jarahi jahan per
Kay manzil ab dur bhi lagay
Dil choor bhi lagay
Asaanina kahan per
Hum seekhay sab seenay mein rakhna
Tabhi aaye kuch na kabhi bhi zabaan per
Mein kisi sai ab larta nahi hoon
Par ye bhi nahi kay lar nahi sakta
Mein saath lay ker chalta hoon sabko
Toh teray liyay kya kuch ker nahi sakta
Ye rasm-o-rawaj meray bas me na
Mein rishtay pakar nahi sakta
Tu jhoot bolay raat tu sukoon mein thi
Kya mein chahray parh nahi sakta?
Tujhay dekh apnay apko dekhta
Behki hoi raat mein sharab ko dekhta
Mein tujh mein phir aasai aik azaab ko dekhta
Jaisa gunnahgar shaks hisaab ko dekhta
Kaanton mein liptay gulaab ko dekhta
Bhatka hua mehtab ko dekhta
Teri baaton mein meri ye shaamein guzray
Soay bina kesay is khawab ko dekhta
[Chorus]
Toh lou haar maan aayе
Aur baray parayshaan aaye
Ab teray shehar chakar laga hai
Lеkin bankay anjaan aye
Hum tujhsay dil ki batein kertay kertay
Aksar gumaan aaye
Joh tum ghar
Bankay mehman aye
Toh jaan meri jaan mein jaan aye
Kya tum bhi kabhi bethay bethay meray baaray yuhhi jo bhi chahay ulta seeda sochti ho?
Kya tum bhi kabhi kabhi kuch kahnay ko chaho
Par baywajah khud ko yun thokti ho
Kya tum bhi issi haal mein ho
Ya tum bhi behaal si ho
Tum samaj mein na aati ho
Tum aisay sawal si ho
(Woah)
[Verse 2]
Mein teray liay gaanay likhoon
"GUMAAN" likhon
"AFSAANAY" likhon
Ab joh tu likhnay ka kehde
Toh baith sab teray sehranay likhoon
Mein thujay kabhi apna likhoon
Kabhi sapna likhoon
Kai bahanay likhoon
Tujhay soch peene ka sochoon
Kya tujhay mehkhanay likhoon
Ye kala mujhay bojh lag rahi thi
Ye kala meri dost ban gai hai
Jo raatain mujhay kaatnay ko dorti
Woh raatain ab jaisa aik moj ban gai hai
Ab meri kaisi soch ban gai hai
Kay tu hi meri khoj ban gai hai
Kay ab tujhay likhtay rahna
Ye aaditein ab roz ban gai hai
Ab meray naam kay naaray lagtay
Ye kaam mujhai saray tumharay lagtay
Log dhoonday mujhay kaisay mere ghar tak pohnchay
Merai peechay koi khoofya idaray lagtay
Tu behti roz aksar shaamein takti
Jaisay ghar ko koi teray kinaray lagtay
Ye lamhain tujh pay bhi bhari jaisay
Tum ne bhi dard mein guzaray lagtay
(Woah)
[Chorus]
Toh lou haar maan aye
Aur baray parayshaan aye
Ab teray shehr chakar laga hai
Lekin bankay anjaan aye
Hum tujhsay dil ki batein kertay kertay
Aksar gumaan aye
Joh tum ghar
Bankay mehman aye
Toh jaan meri jaan mein bhi jaan aye
Kya tum bhi kabhi bethay bethay meray baaray yuhhi jo bhi chahay ulta seeda sochti ho?
Kya tum bhi kabhi kabhi kuch kahnay ko chaho?
Par baywajah khud ko yun thokti ho
Kya tum bhi issi haal mein ho
Ya tum bhi behaal si ho
Tum samaj mein na aati ho
Tum aisay sawal si ho
(Woah)