Jokhay
SAFETY
Kya hi hoga mera mehfilon main hazri sey
Yeh lagey mujhe din bhi jesay akhri se
K kis simat le ke ja raha hun khud ko
Aik hi sawaal puchu molvi sey padri sey
Sher baney hum zindagi k marhalo main
Sakht bhi aur karak bhi dil hogaye hain papri sey
Ab do qadam teh aur yeh haal hue
Kya hi chalega tu, tangein jo hain kanpri

Logon sey bhi milna ab kum hogaya hai
Ghar bethey bethey kitna wazan hogaya hai
Phir gunah hogaye hain phir sitam hogaya hai
Kya logo ka koi mujh pe bhi dum hogaya hai
Mere lehja main tumko jo narmi hai dikhti
Har dukh dard ab hazam hogaya hai
Kesay tum aur main se jo hum hogaya hai
Dil ulti seedha cheezon main magan hogaya hai

Waja hai jo tedhey hum mizaaj rakhtey
Pass kuch bhi nahi tha jo hum ajj rakhtey
Rab ney dia hatho main sab samaj rakhtey
Hum dil khol dena ka riwaaj rakhtey
Baandooka chaku churian Jaibon main purian
Ham har aik marz ka ilaaaj rakhtey
Hum Urdu Rap shеhansha taj rakhtey
Mera rab merе sath meri laaj rakhtey
Dar baste tabhi Khofzada rehna laga
Main nazar main ab aur zada rehna laga
Log bolen idhar shor zada rehney laga
Main dikhun kum studio dost zada rehney laga
Yeh akar rakhien mujhse kis baat ki
Yeh beef mangie khaney main ab gosht zada rehney laga
Pathar bana dil tabhi aur zada sehney laga
Aur zada likhney laga aur zada kehney laga

Kam tar nahi hotey kuch bartar nahi hotey
Tere jesay buhat mujhse aksar nahi hotey
Khud baney boss koi afsar nahi hotey
Ab raatien bhi jaga subha daftar nahi hotey
Log peetey waqt mera khoon ki tarah
Tabhi chubhein mujhe yeh June ki tarah
Flight mode rahon kisi phone ki tarah
Main kho chuka hon kahin sukoon ki tarah

Thoray dil thoray huye daam k masley
Aur kabhi dil main rehney wali jaan k maslay
Insaan ko hi hotey insaan k maslay
Tum leke bethe abhi khandan k maslay
Safar hai taweel aur manzil sey door
Lakin Abhi chal rahe hain saman k maslay
Mujhe le dubenge zaban k maslay
Shehar janey mujhe nahi pehchan k maslay
Woah!