[Verse 1: JANI]
Mera bichra hua yaar ho gayi ho tum
Jo lutt chuka hai, wo sunaar ho gayi ho tum
Tum rang badalti ho us dhalti shaam ko
Yaqeen maano, Taj ke minaar ho gayi ho tum
Hum alag bewaqoof itnay saaron mein
Zaaya kar rahay zindagi yahan intezaaron mein
Hamari "Haan" nahi aa rahi istakhaaro mein
Mujhe dhundhna asaan ishtehaaron mein
Naa tu rahay, naa main rahun, bas rahay udaasi sadaa
Tu maali aur main baagh sa
Kaheen Khuda na-khasta toot naa jaye raabta
Hawaas saray bakhta
Ho jaayen naa hum laapata
Tere baraamday se jo haryaaliyon ke manzar hain
Wo mere ghar se dekhnay par banjar hain (Banjar hain)
Tere aangan se ab jo tujhe mehal dikhayi de
Wo mere ghar ki khirkiyon se khandar hai (Khandar hai)
Kyun kuchal diye hain khuwab mere? (Khuwab mere)
Mujhe le ke doob gaye hain ikhtilaf tere
Mere bistar sе jaaye nahi mehek tеri
Tera khaali kamra ab bus mere istemaal may rahay (Istemaal may rahay)
Par hum bhi tum se larr nahi rahay (No)
Jaan-e-mann hum teri gali se guzar nahi rahay
Dekho na hum dil dukha kar bhi tou darr nahi rahay
Haan, hum girr rahay hain, parh rahay hain, marr nahi rahay
[Chorus: JJ47 & JANI]
Ab banay meri doston se nahi (Nahi, nahi)
Ke mere yahan yaar nahin bachay (Na bachay)
Koi sarokar nahi bachay
Ab bachnay ke koi aasaar nahi bachay (Hmm)
Ab banay meri doston se nahi (Nahi, nahi)
Ke mere yahan yaar nahi bachay (Na bachay)
Koi sarokar nahi bachay
Koi Faiz, koi Mir, Gulzar nahi bachay, yeah
[Verse 2: JJ47]
Achanak namudaar ho gaye ho tum
Ye kaisay funkaar ho gaye ho tum?
Mujhe meri galtiyan batate ho
Main dekhun kaafi zyada zimmedaar ho gaye ho tum
Bolo kaise chakkar laga hai?
Mere liye tou bas ek kaarobaar ho gaye ho tum (Tum)
Tumhe pata mere aan-jaan ka
Kya yahan ke thaanedar ho gaye ho tum?
Lekin ye sach, you can't fight the fact
Ke hum kuch bhi nahi faqat ek matti ki putli
Karo istakhaaray, dekho tum kundli
Paisa mohabbat, mere hathon mein khujli
Khanay ko behtar aur achha pehan'na
Sham mein samandar pe jee bhar tehelna
Khud ko sambhalay, tum khud se behelna
Naa ho awaazein aur naa hi chehalna
Zaroorat bani hai
Main ne kaha, ye zaroorat bani hai
Main khud ki khayaali ek duniya mein bas kar
Dekhoon jo khud ko ek soorat bani hai
Nazar lagi aatay-jatay pe
Aur bal paray rehtey mere maathay pe
Mera shehar phir barsa hai jee bhar ke
Par ek boond jo naa giri mere chhaatay pe
[Chorus: JJ47 & JANI]
Ab banay meri doston se nahi (Nahi, nahi)
Ke mere yahan yaar nahi bachay (Na bachay)
Koi sarokar nahi bachay
Ab bachnay ke koi aasaar nahi bachay (Hmm)
Ab banay meri doston se nahi (Nahi, nahi)
Ke mere yahan yaar nahi bachay (Na bachay)
Koi sarokar nahi bachay
Koi Faiz, koi Mir, Gulzar nahi bachay, yeah