🔥 Earn $600 – $2700+ Monthly with Private IPTV Access! 🔥

Our affiliates are making steady income every month:
IptvUSA – $2,619 • PPVKing – $1,940 • MonkeyTV – $1,325 • JackTV – $870 • Aaron5 – $618

💵 30% Commission + 5% Recurring Revenue on every referral!

👉 Join the Affiliate Program Now
Jokhay
Purpose Rap

[Verse 1: Talha Anjum]
Wujood-e-zan se tasweer-e-kainaat may rang
Woh na he kamzor, na he woh kisi se kam
Uske iraaday aise jese chattaan ho
Na woh giray, na woh jhukkay, tum bhi ye jaan lo
Khuda ne taaqat sath aqal de insaan ko
Usay kamzor mat samjho, aqal se kaam lo
Woh purri duniya se karay datt ke muqabla
Woh samne se khari karay mushkilo ka saamna
Umeed zinda hai ab bhi meri jeet ki
Yahan tak leke anay wali bhi umeed thi
Purpose leke chalay jazba rakhien dil ke andar
Ghulam nahi, hum is waqt ke Sikandar
Asal social issues pe nahi karta baat koi
Par hum rakh ke bethenge hath pe hath nahi
Maslay sab sunate hal koi nahi batata
Ke nojawaan he to qaum ka asal asaasa

[Chorus: Talha Anjum]
Hum he aaj hain, hum he kal bhi
Hum se ye jahan, is jahan se hum nahi
Hum agey barhenge agey jahan aur bhi hain
Haar nahi maani abhi imtehaan aur bhi hain

[Post-Chorus: Talha Anjum]
Hum he aaj hain, hum he kal bhi
Hum se ye jahan, is jahan se hum nahi
Falaq-shigaaf ye junoon (Yeah)
Through the skies and the stars and the moon (And the moon)
[Verse 2: Talhah Yunus]
Pani ek zaroorat jo ab naimat bann ke reh gaya
Kitna kaam aya? Kitna zaaya hua, beh gaya?
Insaan jesa boyega wesa he khayega
Jo bachaya woh zaroorat pe kaam ayega
Zindagi aap se, jaane do na raega
Sirf apna faida socha, toh kiya faida?
Bache parhenge toh mulk aagay bharega
Haal kese behtar jab mustaqbil he yahan darega
Facts toh facts hain, bro ye sirf ek rap nahi
Stats check karlo jaake, numbers don't lie bhai
Kisaan, bhai, is economy ki backbone
Agriculture se juri aadhi mulk ki labor force
Is mitti se zindagi hai ye sirf khaak nahi
Ye lamha-e-fiqriya hai, ye koi mazaak nahi
Always believed in, "Jo boyega woh katega"
Apne lougo se soda nahi karte ghaate ka
Apne lougo ke liye gaatay nahi toh gaatay kiya?
Apne lougo may opportunities nahi baantein kiya?
Ye purpose rap hai, maqsad hain bohot baray
Na agay, na peechay, apne lougo ke saath kharay
Jiski mehnat se khilay baagh hotay sawera
Uske ghar pe ho chiraagha na ke ho andhera
Apne liye toh sab he jeete hain is jahan may
Koi-koi hota jo auro'n ki zimmedari leta
[Chorus: Talha Anjum]
Hum he aaj hain, hum he kal bhi
Hum se ye jahan, is jahan se hum nahi
Hum agey barhenge agey jahan aur bhi hain
Haar nahi maani abhi imtehaan aur bhi hain

[Post-Chorus: Talha Anjum]
Hum he aaj hain, hum he kal bhi
Hum se ye jahan, is jahan se hum nahi
Falaq-shigaaf ye junoon
Through the skies and the stars and the moon (And the moon)