Karma
Tujhko Kya Fikar
Parv Music ->

[Chorus]
Hai tujhko kya fikar, mein kal raha ya nahi
Mein aaj toh hoon tera, par mein kal ya raha nahi
Manzil ki taraf apni, mein chal raha ya nahi
Tere dil mein mujhko khone ka hai, dar raha ya nahi

[Verse 1]
Mein sudhar raha ya nahi, mujhko bacha le
Tere bina tu hi bata, kaun mujhko sambhale
Tere bina tu hi bata, kisko dukhde sunaye
Tere pe jo baat ho toh, sabse aage hum aate

Phir bhi maine dekha, kuchh toh kami reh gayi
Mere haath mein kalam, aankhon mein nami reh gayi
Hum ghanto bethe sunte rahe, teri arzoo
Par tere jaane ke baad se, hum toh hum hi hain nahi

Ab toh gham hi har ghadi, mein kaash samay rok pata
Tu apne man ki baatein, kaash mujhse bol pata
Shayad meri hi thi galti, khudko roz daanta
Ek hi sawal is dimaag mein, ab roz aata

[Chorus]
Hai tujhko kya fikar, mein kal raha ya nahi
Mein aaj toh hoon tera, par mein kal ya raha nahi
Manzil ki taraf apni, mein chal raha ya nahi
Tere dil mein mujhko khone ka hai, dar raha ya nahi

Karma ->

[Verse 2]
Na tujhse koi aas, na hi aarzu
Sab jeet ke bhi haar mili, kya kahu
Hai tujhko kya fikar, hum ji rahe ya mar rahe
Mein aaj hoon, mein kal rahu ya na rahu

Bata rahe the dost ke dekha tera post
Ab naya koi dikhta teri stories mein roz
Tu pehle se zyada sundar, pehle se kam khush
Wo rehta paas tere, par na mujhse zyada close

I heard wo 6 feet nahi
Tu heels bhi nahi pehn sakti uske saath
I heard tu already dhoondh rahi ke kaun
Tere saath hoga uske baad

Tu mujhko gairo ki mehfil mein bewafa bata raha
Kari wafa is baat ka gawah khuda raha
Toota 100 dafa ye dil, tukde tujhko the diye
Sambhal legi tu, tune sapne the diye, khair...

Wo mujhse zyada pyar tujhko kar raha ya nahi
Tere liye duniya se wo lad raha ya nahi
Cause mein lad raha tha sabse, hui kaafi behes
Wo boli, "I deserve better," mein bola, "You're the best"
Ab mein hasta hu us baat pe, mein hasta hu on your text
Maana tha tujhko ghar, you treated me like a guest
Ab jo bhi hoga next, I hope ho perfect match
I hope tu rahe khush, cuz mujhko hai fikar