Ye zindagi hai khel aake khel mere saath
Band kamre bhi lagte jail mere saath
Maana 4 din jeene ke toh ye jhelne ki baat
Warna lagale daav ye hai khelne ki baat
Ye zindagi hai khel aake
(Yea)
Chaaku ki nok pe
Tha seekhe kya hota hai chakravyuh kokh mein
Jaana ki dhoke pe dhoke
Hai mauke pe mauke dene se tu sochle
Khojle raaz
Ke karta kyu hai tu ye aatmaghaat
Ye baat ki
Rahegi ye maya tu jabtak hai saath
Aur ki jo gaddari toh lagega paap
Kaun hu mein?
Kya meri galtiyan?
Jab poochhu ye savaal
Log bolte kyu mujhe ‘Takhliya’
Hai chakhliya swaad anusaar sabka
Namak ye harami ka
Gumnami ke sheher mein kaha keemat hai
Zubaani ka
Jhaanse (Jhansi) mein fasi raani ka
Bani jo Manikarnika
Hanikarak ye vani ka
Kami lage jab paanika
Toh pee lo,Tum toh jheel ho
Behna kaam nai hai
Sikhaadi bhai ko jo izzat
Behen nakaam nai hai
Meine toh bola ye sachmein
Kasmein vaade saare vashmein
Rehna kyu chaahte ho touch mein
Jabhi jeene laga mein mere sapne
Meine toh bola ye sachmein
Kasmein vaade saare vashmein
Rehna kyu chaahte ho touch mein
Jabhi chhode meine sapne ratne
(Arey putra jis singhaasan pe baithe ho
Uske neeche toh aag na jalaao
Ye singhaasan jal jaaega, jal jaaega ye singhaasan)
Ye zindagi hai khel aake khel mere saath
Band kamre bhi lagte jail mere saath
Maana 4 din jeene ke toh ye jhelne ki baat
Warna lagale daav ye hai khelne ki baat
Ye zindagi hai khel aake
(Murkh)
Jaha pe wo baatein kare
Waaha pe hi toh jaanke maarte chhoori
Kisne kaha sirf ye zindagi dekhi
Unhone jinke sar pe jhoori
Haan seekha majboori mein gaayab
Jo bhi saare karte the meri badhai
Ab haathon ki kalam banjaati trishul
Aur beat pe naachu, ab honi tabaahi
Neel kanth kare
Sabka ant
Jabhi raste band
Tabhi soch anant
Jabhi likhta seekhta
Dikhta cheekhta
Baje yaha mrindagam
Mein bolu tere gaanon mein kitna
Rhythm kam
Jabhi tu kholta fann
Mein karunga khud dafan
Lage jo manghadant
Wo toh hai kadva sach
Khula manch
Ye na nashevaali baatein thoda kum toh baje
Par
Ye vaani toh jaanle
Likhta mein jaise pichaanve
Agar hai aana pehchaan mein
Pehle tu jaake banana pehchaan be
Meri ye baatein ko maanle
Baaton ko mann mein thaanle
Mere ek kandhe pe baitha hai sant
Aur dusre pe baitha shaitaan hai