[Interlude: Yashraj & Priest ]
Kya mein yaad rahunga?
Toh aakhir panna kya hai?
Mrityu?
Yeh bhi humaare haath mein nahi hai
Keval beech ka panna humaare haath mein hai
Maut!
Bachpan mein beech raat ko jaagke poora andhera dekhke aankhon mein maut ka khauf
Panchmahabhooton se bana yeh deh
Yeh chola agni mein jalkar unhi
Panchamahbhooton mein bhasm ho jaata hai
Sama jaata hai, mil jaata hai
Bheen ho jaata hai
Par jo maalik hai
Kya mein kaafi kar paaunga?
Jise aap aur mein aatma ke naam se jaante hai, aatma
Yeh aatma kabhi mrityu ko prapt nahi hoti
Duniya ko iss pavitra aatma ko kaant nahi sakta, Nahi
Agni kabhi aatma ko jala nahi sakta hai, Nahi
Hawa kabhi aatma ko sukha nahi sakta, Nahi
Jal kabhi aatma ko gala nahi sakta, Nahi
Aatma ajar hai
Kya mein kaafi tha?
Aatma amar hai, naa marne waali hai
Kya mein kaafi tha?