[Chorus]
Nahi udayi kabhi baap ki kamayi
Mehfilon mein jaake aag bhi lagayi
Kaise guzregi ye raat mere bhai
Aaye yaad mujhe roz, mera bhai, mera bhai
[Verse 1]
Kya ye zindagi saza hai?
Ya kuch apno ki dua hai?
Yaar aate bin bulaye
Kuch kabhi laut ke na aaye
Mera Rabb mera gawah hai
Mera sab mera Khuda hai
Kitne khat bhi hain jalaye
Kitne pathro'n pe phool bhi sajaye
Tujhse real mera yaar na tha koi
Tujhse bada mera fan na tha koi
Tere liye dekhe khuwab toh bade
Kya batau teri maa kitna royi
Kyu lage ke mere saath baitha koi
Kyu lagе ke mere saath baitha tu hе
Tere liye alag raste chune
Tere baare karu baat kaise koi
[Pre-Chorus]
Dil hai zakhmi par duayein na rukein
Kabhi ayein na rukein, ya hawayein na rukein
Kya tujhe tasveero'n mein bhi ayena dikhe
Lafzo'n mein shifa toh ye dawayein na rukein
Dil hai zakhmi par duayein na rukein
Kabhi ayein na rukein, ya hawayein na rukein
Kya tujhe tasveero'n mein bhi ayena dikhe
Lafzo'n mein shifa toh ye dawayein na rukein
[Chorus: Talhah Yunus]
Nahi udayi kabhi baap ki kamayi
Mehfilon mein jaake aag bhi lagayi
Kaise guzregi ye raat mere bhai
Aaye yaad mujhe roz, mera bhai, mera bhai
Nahi udayi kabhi baap ki kamayi
Mehfilon mein jaake aag bhi lagayi
Kaise guzregi ye raat mere bhai
Aaye yaad mujhe roz, mera bhai, mera bhai
[Verse 2]
Palle-bhare gandagi mein aur ab tu nahi toh may zindagi se tang
Kabhi roye nahi apne liye magar apno'n ke liye toh ro chuka hu ab
Lage mera dil nahi hai, zakham silna nahi hai, shayad din bachein hain kamm
Ghar lage ghar nahi hai, ab darr nahi hai jese may kho chuka hu sab
Khudko he rokta hu ab
Khudke liye sochta hu kab
Kya he bolu jab may keh chuka hu sab
Khudko he kosta hu ab
Ansuo'n ko ponchta hu ab
Ghar ka har bojh uthau ab
Tanha betha baal nochta hu ab
Bure khuwabo'n mein bhi so chuka hu ab
Laata lakkar, leta aag bhi
Dil tha ye pathar be-tarash bhi
Ye shohrat-wohrat meine baant di
Jeeta jese har ek din he aakhri
Uthaye bojh bhi aur laash bhi
Han may khush bhi, udaas bhi
Kitne gaane likhe yaad nahi
Kabhi bujhe gi ye pyaas nahi
Sab kutte bane soongte rahe
Chahne wale kese bhoolte mujhe
Ghar wale mujhe dhoondte rahe
Kya karein jab door thay bare
Shayad rehte ab sirf toote hoye dilo'n mein
Tum kese mere joote mein chaloge
Ho matlabi toh doob ke maro phir
Sab qadar meri baad mein karoge
[Chorus: Talhah Yunus]
Nahi udayi kabhi baap ki kamayi
Mehfilon mein jaake aag bhi lagayi
Kaise guzregi ye raat mere bhai
Aaye yaad mujhe roz, mera bhai, mera bhai
Nahi udayi kabhi baap ki kamayi
Mehfilon mein jaake aag bhi lagayi
Kaise guzregi ye raat mere bhai
Aaye yaad mujhe roz, mera bhai, mera bhai