Talhah Yunus
Besabar
[Chorus]
Har zehar ab be asar
Ba vafa tou be qadar
Yaar bolen de khabar
Mai dunya se bekhabar
Ae khuda mujhe de sabar
Tu sath hai tou kis ka darr?
Woh deta har dil mai ghar
Tou kyun itna besabar?

[Verse]
Zindagi khel nahi, ye sirf ek tamasha hai
Kitno ko jail hui, jurm mai izaafa hai
Haan maana k der hui, is qalam se waada hai
Is jungle ko sher nahi, andhera sikhata hai
Mai qalam uthata tou khuda chalata hai bhai tou sirf gaata hai
Duaen kuch logon ki, kitni kahanion ka ye khulaasa hai
Khoon se rangay ye khaakay shayad khuda hi ghar tak pohanchata hai
Hijr ki shaamen, ye fikar hi apno ko nazdeek laata hai
Zarurat ijaad ki maa hoti hai tou mai kitno ka baap hua
Teri khuraak hu kia? Sab likha wa baant du kia?
Tera mizaaaj hu kia?
Kalla ko apni mitaa du kia?
Sochu khuda se ab maangu kia?
Marzi ko apni jala du kia?
Lashen pari sarkon pe, log marren kharchon se
Shor baray sarkon pe, roz marren qarzon se
Sar e aam qatal dekhay inhi larkon ne
Nikle we woh bhi jo sorahay thay barson se
Thik hai hum khud ko badalte hain
Suraj se jaltay hain, mashriq mai dhalte hain
Taaron se larrte hain, jeetay jee charchay hain
Ab tou yuu marr bhi gaye tou amar se hain
Alag meri lane, kaali meri Benz
Rakhu asla hi nai
Masla hi nahi, par woh rasta nahi
Teri in badmashion pe hasta bhai
Mudday pe aa seedha maska nai
Saanp sanperay ko dasta nahi
Phenku usoolon ka basta nahi
Logon ki nazron se bachta ayy!
Number plate kaali, Kaalay sheeshay
Mere yaar wuhi
Sar pe zimmedari, Bottle khaali
Ye qataar wuhi
Badalon se gaanay du, umeedon k pahaar wuhi
Qaafilay tou banchuke, aur karchuke kamaal bhi
Apni har khuaahish se darrte hain
Apno ki khaatir tou bhookay bhi marrte hain
Likhte haqiqaat, sab mehsoos karte hain
Hum tou munaafiq ko bhi ashiq karte hain
Zindagi khel nahi, ye sirf ek tamasha hai
Dekhi dopher nahi, raaton ka Raja mai
Haan maana k der hui, par apno se waada hai
Is jungle ko sher nahi, andhera sikhata hai
Tung aa chuke, kia woh rung aa chuke
Saaday par jeene ke dhung aa chuke
Bad duaen beasar, ye sarr na jhuke
Ye Dagh e dil tere hi sang aa chuke,
Khud se bicharne lagay
Woh qadar na rahay
Raaten ghar na rahen
Tere parr aa chuke
Ranjishen barhteen, log sochen kon ghalti pe
Nangay paun chalte rahe apni marzi se
Sookhay gallay, pyaasay marrtay kia garmi se
Seekhay hain kitne yahan meri hi ghalti se
Ye meri ulfat, ye mera khulus hai
Meri kalakaari mera suboot hai
Farig qanoon, Koi kese mehfooz hai
Mera zawaal kisi ka urooj
[Chorus]
Har zehar ab be asar
Ba vafa tou be qadar
Yaar bolen de khabar
Mai dunya se bekhabar
Ae khuda mujhe de sabar
Tu sath hai tou kis ka darr?
Woh deta har dil mai ghar
Tou kyun itna besabar?