Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon?
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon?
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahi hoon
If I were you and you were me (you were me)
I would forgive you jaise tu ho ek surang mein
Uske end mein tujhko roshni dikhi (light it up)
That’s how I see you, khud ko meri nazar se dekh
If I were you and you were me (if you were me)
Main aise toot’ta ke toot’te hain taare kya
Woh aaj bhi hai muntazir (yeah)
Mukhtasir ek mulaqaat ka, phir kabhi mil paayein na
Dil doobe, manzil lage door bahut
Urooj se zawaal dekhein hain noor bahut
Na tere haath mein zindagi aur na hi maut
Mere haath mein hai qalam, qala aur shauq
Har khauf se aazaad kar do meri zaat ko
Qismaton se paak kar do mere haath ko
Jis hisaab se rakha hai dil pe bojh mere
Jaise karma peeche pada hai haath dho
Gaane gaaye bahut, dil dukhaye bahut
Na tumhein aaye sharam, na humein aaye maut
Main sane hoon iss minute, next minute I’m psycho
Industry kare follow, brands go where I go
Yeh mera flex nahi hai, life hai (yeah, yeah)
Send my cheque, mujhe baatcheet nahi chahiye (yeah, yeah)
I got bills, mard ke alag hotay qaiday (mard)
Agar kamaate nahi toh mard ho tum kaahe ke?
Future dikhta nahi hai, future is what I say (what I say)
Woh saath khaayein, kehna padta nahi woh bhai the (bhai the)
I do or die for the gang
Bina likhat-padat ke kiye huye hain yeh muhaeeday
Saal girah, tab bhi khada tha main mic pe
Gawah yaar, rawadaar, mere saath
Rahe sada aabaad yeh aawaaz
I rap for a purpose, yeh career ek cause
You expect me to be perfect and I’m just full of flaws
Kaise likhta hoon yeh verses, kya karta hoon mehsoos
Main bina taj ka badshah, got nothing to lose
I’m crossing lines just to cancel out the booze
Ab na dil se nikle aarzu
Jab se dil se nikli aaj tu
Dil tha mera gosha-e-sakoon ek
Kyun bana gayi hai isay bazaar tu?
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon?
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon?
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahi hoon
Dil mein sawaal bade, biche huye jaal bade
Meri misaal chale, chaahte saare chaal chalein
Thappad yeh gaal pe, industry poori paalte rahe
Laya kitaab jo tum khol ke sirf chhapte rahe
Talwe mere chaat’te rahe, paisa nahi, woh daat de rahe
Dekhe nahi halaat mere, yaaron ne jo khwaab dekhe
Poore karoon aaj, ab iss haath mein woh aag, bete
Paise mein woh baat nahi, jo izzat meri aaj, bete
Yeh imtihaan kaisa? Sooraj nahi, par chaand dekha
Likhari jaanleva, Urdu Rap ko saans deta
Kissey ladoon jung? Sab waaqif hain, yeh maidaan mera
Rap meri jaan, main Karachi ke liye jaan de raha
Yeh ladke likhte, mujhe dikhte apne bars, bhai
Darta nahi girne se, bas duniya se naaraz, bhai
Aaine ko tod dein, yoon jodte alfaaz, bhai
Lafz kaise tolte, jab bhaari yeh aawaz, bhai?
Dil mera saaf, main industry ka woh raaz, bhai
Darte mujhse aaj bhi, shaaheen aata baaz nahi
Bhai full 50, Talha jaane, khola haath nahi
Kagaz ko main aag doon, pichwaade inke raakh, bhai
Sar apna noch rahe, hum sote huye bhi soch rahe
Khwabon mein bhi apno ke khushi ke aansu poch rahe
I ain’t a role model, aaj bhi on the road, ayy
Underground ko laaya mainstream waale shows mein
Deal hoti close, uthte saath mujhe hosh nahi
Industry mere lun pe, par nahi, woh meri dost nahi
Rozi roti likhi upar waale ne, afsos nahi
Darte nahi hum maut se, musafir marte roz, bhai
I ask God, why you made fear?
Sab rona chaahte, but we hate tears
I’m never sober, but I stay clear
Samajh se baahir main, jaise Shakespeare
Arsay se khayi nai roti maa ki hath ki
Taaron ko naam doon, tu dekh meri saadgi
Dushman ko bhi kaam doon, kaise hogi barabari?
Log meri mehnat ka fal khaana chaahte aaj bhi
Yeh baatein nahi kaagazi, main khud ko deta daat, bhai
Sach se duniya bhaagti, aur main sirf sach ke saath, bhai
Highest in the room, mujh tak pahuchenge kya khaak, bhai?
Har gaanay ki main dhun , sirf beaton se karta baat, ayy
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon?
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahi hoon
Afsanay ab likhta nahi hoon
Main duniya ko dikhta nahi hoon
Mat poocho main kitna sahi hoon
Kyun ek jagah tikta nahi hoon?
Basar karte hain tere dil mein
Asar hai toh shikwa karein kyun?
Zikar hota hai har mehfil mein
Woh chaahte, par dikhta nahi hoon