Jeena Nahi - Olvin

from Inayat
INTRO :
Yeah ! You Know
Wo Kehte Hai Ishq Karna Asaan Hai
Shayad Ishq Karna Asaan Hai
Lekin Uski Yaadien..
VERSE 1 :
Ab Tak Na Kiya Tere Khyaalo Ko Dafn Maine
Ab Tak Pehna Hai Teri Yaadon Ka Qafn Maine
Ab Tak Tu Dil Me Basi Mat Todi Kasam Maine
Tujhe Paane K Liye Kitne Jatan Maine

Jab Tak Tu Paas Thi Chehre Pr Hasi Thi
Ab Toh Hasti Hai Udaasi Aa Kar Mere Chehre Pr
Upar Upar Se Koshish Karta Hun Khush Rehne Ki
Pr Yaadien Teri Bann K Gum Baithi Hai Mere Pehre Pr

Chahiye Tha Saath Mujhe Kar Gayi Rakh Mujhe
Dhundli Dikhti Hai Zindagi Ab Mat Dikhta Saaf Mujhe
Aate Na Khwaab Mujhe Hai Bhi Khyaal Tujhe
Bana Kar Chali Gayi Tu Zinda Laash Mujhe

Panno Pe Girte Aansu Tu Hi Wajah Hai
Tu Hi Khushi Thi Meri Tu Hi Saza Hai
Panno Pe Girte Aansu Tu Hi Wajah Hai
Tu Hi Khushi Thi Meri Ab Tu Hi Saza Hai

More from Inayat

More by Olvin I The hindi Rapper

All Olvin I The hindi Rapper songs →