Nusrat Fateh Ali Khan
Wohi Khuda Hai
Koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai
Koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai
Dikhaayi bhi jo na de, nazar bhi jo aa raha hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Nazar bhi rakkhe samaa‘aten bhi
Wo jaan leta hai neeyatein bhi
Nazar bhi rakkhe samaa‘aten bhi
Wo jaan leta hai neeyatein bhi
Jo khaana-e-la-shu‘oor mein jagmaga raha hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Talaash usko na kar buton mein
Wo hai badalti hui ruton mein
Talaash usko na kar buton mein
Wo hai badalti hui ruton mein
Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai
Wohi Khuda hai
Dikhaayi bhi jo na de, nazar bhi jo aa raha hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai
Wohi Khuda hai