[Hook: NACWEE]
Pehle jo bhi thay bahanay wo bahanay ab bahanon se bhi mujhpe kabhi chaltay na
Aese likkhe kafi gaane aese gaane ab sunaane se kisi pe asar kartay na
Banen jo bhi hein syaane na syaane aese jo k apni baaton pe se palten na
Mainay dekhe wo zamane jo zamane ab fasanon mein bhi mujhe kabhi milte na
[Verse 1: NACWEE]
Kadam 2 kadam chalte
Mere sath
Kabhi issay thora ziada
Bhi toh sath de do
Khatam karo khatam kardo
Mere sath
Ya phir issay thora
Behtar hai nijaat de do
[Hook: NACWEE}
Jo bhi thay bahanay wo bahanay ab bahanon se bhi mujhpe kabhi chaltay na
Aese likkhе kafi gaane aese gaanе ab sunaane se kisi pe asar kartay na
Banen jo bhi hein syaane na syaane aese jo k apni baaton pe se palten na
Mainay dekhe wo zamane jo
[Verse 2: Saad Khan]
Tu wo nahi thi jo main samajhta tha
Tu kabhi badli na thi shayad main hi bacha tha
Par haan main badla ab, ya shayad aagyee aqal
Ab bas main aur manzil ab nai chahiye koi dakhal
Shakal se dikhta main aam insaan
Par andar toh betha aik kalakaar
Ghuroor nai mujhe hai khud pe naaz
Main kholdoon khud k raaz
Aata na baaz karta shayari
Maane jo haar main tha hi nahi
Likhne mein na hai koi kahili
Samajhdar ab jahil nahi
Siyasaten scene mein bari hein
Snitches hein scene mein bohat
Trust k kabil hein kum
Circle hai tabhi toh bhai ka small
Aaina dekh, khudko jaan
Khud samajh, khud pehchaan
Khud ko dekh aur khud kr kaam
Ya pistol chuk, le khud ki jaan
Tu khud hai zimedaar
Tu khud ko na bigaarh
Tu bhutt ae ya bimaar
Tu kuch bhi nahi bekaar
Kyun intezar tu krta betha kisi saharay ka
Apna na koi, mushkil mein phir
Jani tu kisko pukaarega
Hein?